Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Page 4 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKo (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 6:16 am

Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKO,

Aaj Roya Galey Laga K MujKO,

Usny Pehla Sawal Ye Pocha,

Tum Ko Kaisa Laga Ganwa K Mujko?

Zindagi Ne To Azmaaya Hai,

Dekh Lo Tum B Aazma K Mujhko,

Usny Rasta Badal Liya Apna,

Pyar Ki Raah Par Chala K Mujhko,

Dey Gaya Umar Bhar K Aanso,

Jo Kbhi Hansta tha, Hansa K Mujko,

Ajeeb Shakhs Tha, Jatey Howey Wo,

Khud Bhi Roya Bohat Rula K Mujko,

Mujh Ko Pathar Bana K Kehta Hai,

“Jaan” Dekho Na Muskura K Mujhko

75

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Likhay thay kitnay he afsanay (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 6:17 am

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay


76

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Meri mayyat ko es raste se hata do yaaro

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 2:49 am

Mujhko bhi meri asal raah dikha do yaaro,
Pehna k mujhe meri hi Ghurbat ka kafan,

Un pe surkh jorra saja do yaaro,
Naam Likh do un ka khushiyon ki deewar par,

Mera naam-o-nishan duniya se mita do yaaro,
Waqat aakhiri hai teri duniya main es deewane ka,

Ho sakay tu mere mehboob ko bata do yaaro,
Suna hai aaj us ki doli es gali se guzar jaye gi Wasi,

Meri mayyat ko es raste se hata do yaaro.


BY
WASI
77

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty "SHAM K BAD"

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 2:54 am

Aankh bn jati hai Sawan ki Ghata

"SHAM K BAD"

Mujh se ho jata hai hr koi khafa

"SHAM K BAD"

Chand jb Ro k sitaron se gale milta hai

Aik ajab Rang ki hoti ha fiza

"SHAM K BAD"

Hm ne tanhai se poocha k milo gi kb

Us ne be-chaini se forn hi kaha

"SHAM K BAD"

Lout aati hai meri Shab ki Ibadat khali

Jane kis Arsh pe rehta hai Khuda

"SHAM K BAD"

Maar deta hai bicher jane ka dohra ahsaas

Kash na ho koi kisi se juda

"SHAM K BAD"





78

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty bus ye ek paigaam de de (M.MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 2:56 am

dard ki baarish mae tou dil roz bheegta hai
ai Khuda aaj chahay tou phir se wahi dard ki baraish kar de..

par ek boond khushi ki esmae de de..
wo khusi mai nazro se dekhna chahati hu..

wo kush hai kahi door mujhsae..
bus ye ek paigaam de de..

es ek boond ke sahare mai apni zindagi jee jaungi..
phir chahaye tou umra bhar gam aur dard ki baarish de de.




79

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Akele chand ko takna to mujh ko yaad kar lena (M,MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 2:59 am

Akele chand ko takna to mujh ko yaad kar lena...
Kisi bhi baat pe hansna to mujh ko yaad kar lena...

Bohat se kam aise hain jinhein karna zarori hai...
Zarori kaam ko karna to mujh ko yaad kar lena...

Mohabbat woh haqeqat hai jise badla na jaye ga...
Kitab-e-ishq ko parhna to mujh ko yaad kar lena...

Mere piyar ki khushboo tmhain kagaz se aye gi..
Ksi ko shair jo likhna to mujko yaad kr lena....


80

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Mujhay Taqdeer ne Taqdeer ka mara Bana Dala

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:07 am

Chamkty chand ne tota Huwa tara Bana DALÄ
Meri Awaargi ne Mujh kö Awaara Bana Dala

Bara Dilkash Bara Rangeen Hai Ye shehar kehtay Hain
Yahan par hai Hazarön Ghar Gharon Mai Log Rehtay Hain

Mujhay iss Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala
Mai is Dunya Ko Aksar Dekh Kar Heraan Hota Hon

Na Mujh Say Bann Saka Chota Sa Ghar Din Rat Rota Hön
khudaya Tu ne kesay Ye jahaan Sara Bana Dala

Mere Malik Mera dil kyun Tarpta hai sulgta hai
teri Marzi teri Marzi pay kis ka zoor Chalta hai

kisi ko gul kisi ko ko Angara Bana Dala
Yehi Aagaz tha mera Yehi Aanjam hona tha

Mujhay Barbaad Hona tha
Mujhay Nakaam Hona tha

Mujhay Taqdeer ne Taqdeer ka mara Bana Dala !
Meri Awaargi ne Mujh ko Awaara Bana Dala.





81







Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Jab Pehli bar mairy seenay per tum nay apna sar rakha tha

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:10 am

Ussnay mairy seenay per sar rakh kar pocha,

Jana! apnay jeewan ka wo lamha tou batlao mujh ko

Jiss k badlay mil sakty hain sabhi Seetary

Dariyaon k sary mooti

Sawan ki phaili barish k sary qatry

Ujlay chand ki sari kirnain

Dharti k seenay say liptay sabhi khazany

Sary mousam sabhi duain

Us nay mairy seenay per sar rakh kar pocha

Jana! apnay jeewan ka wo lamha tou batlao mujh ko

Jis k badlay sab kuch

Apna sab kuch ,

Sab kuch

apna sab kuch day sakty ho

Main nay us ka matha chooma or bola

Jab

Pehli bar mairy seenay per tum nay apna sar rakha tha



82

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty aur saarii umr nahiin rote

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:13 am

kuchh aise ghaao bhii hote hain
jinhen zaKhmii aap nahiin dhote

bin roye huye aaNsuon kii tarah
siine mein chhupaa ke rakhate hain

aur saarii umr nahiin rote
niindein bhii muhaiyaa hotii haiin

sapane bhii duur nahiin hote
kyuuN phir bhii jaagate rahate hain

kyuuN saarii raat nahiin sote
ab kis se kahain ai jaan-e-wafaa

ye ahl-e-wafaa kis aag mein jalte rahate haiin
kyuuN bujh ke raakh nahiin hote


83

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty hona tha kisi or ka to chupke se ho jate

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:18 am

Ye dil to tere naam pe qurban kardia
Humne to apni jaan ko bhi be-jaan kardia


Rakhty nahi ho shoq tum dedar ka mere
Ankho ko apni mujhse hi anjan kardia


Hum to samjhty thy k nibhaogy sath tum
tanha mujhey chhor k pareshan kardia


Kuch pal sahi tum merey dil main to rehtey
Nilaam kar k mujhko be-makaan kardia


hona tha kisi or ka to chupke se ho jate
Tumne tu sare aam elaan krdia



84

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Chala Hoon Ek Naye Safar Par (M,MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:24 am

jhootay khawab
Wo Ek Khwab Jiski Sheh Par


Meri Zindagi Ki Hazar Raatein
Kabhi Na Bhoolein Wo Saari Baatein


Mere Wajood Mein Bikher Rahi Hai
Hazaron Khushiyan Wo Teri Yaadein


Wo Ek Khwab Ke Jiski Shay Par
Har Ek Shay Ko Sajaya Maine


Wafa Ka Deepak Jalaya Maine
Teri Mohabbat Ke Zakhm Lekar,


Khud Apni Hasti Ko Mitaya Maine,
Wo Tere Wade Wo Saare Bandhan,


Kabhi Na Khatam Ho Wo Saare Jazbe,
Unhe Main Tere Naam Likhun,


Wo Ek Khwab Ke Jiski Sheh Par,
Andheri Raahon Mein Kho Gaya Hoon,


Jaagti Aankhon Se So Gaya Hoon,
Main Apni Saanso Ka Ek Ek Moti,


Dhukon Ki Ladkyon Mein Piro Gaya Hoon,
Khule Samundar Mein Leke Kashti,


Khud Apne Haathon Dabo Gaya Hoon,
Wo Ek Khwaab Ke Jiski Sheh Par,


Naye Sawere Ki Ummid Le Kar,
Chala Hoon Ek Naye Safar Par,


Gamon Ke Pul-E-Saraat Se Guzar Kar,
Wo Ek Khwaab Ke Jiski Sheh Par..


85

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Ghamoon ko zindagani likh raha hoon (M,MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:29 am

Me ik taza kahani likh raha hoon,
Magar yadien purani likh raha hoon,


Mein bey tarteeb jumloon k safar se,
Jo parh lo wo rawani likh raha hoon,


Tumhari yaad ka har aik lamha,
Mohobat ki nishani likh raha hoon,


Na tha kirdar apna khas lakin,
Wo Raja tha me Rani likh raha hoon,


Sabhi shamien udasi se bhari thee,
Sabhi shamien suhani likh raha hoon,


Kahin dil toot na jaye kisi ka,
Ghamoon ko zindagani likh raha hoon...



86

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Dil udaas hai bahut koi peghaam he likh do (M.MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:38 am

Dil udaas hai bahut koi peghaam he likh do Tum apna naam na likho, gumnaam he likh do


Meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin Tamaam umer na likho magar ik shaam he likh do


Zaroori nahin ke mil jaye sakun har kisi ko Sar-e-bazam na ao magar benaam he likh do


Yeh jaanta hun ke umer bhar tanha mujh ko rehna hai Magar pal do pal, ghari do ghari, mere naam he likh do


Chalo hum maan letay hain ke saza ke mustahiq thehray hum Koi in'aam na likho koi ilzaam he likh do




87

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty MERI YAAD AAYE GE (M.MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:41 am

Sham k ujaloon per...

Aapne naram haathoon se...

Koi baat achi se...

Koi khawab sacha sa...

koi bolti khushbu...

Koi soochta lamha...

Jab bhi likhna chahoo ge...

Soch k darichoon se ,...

yaad k hawaloon se ,....

Mera naam chupke se tum ko yaad aaye ge...

Haath kaanp jaien ge ,...

Sham theher jaye ge ,...

MERI YAAD AAYE GE...

MERI YAAD AAYE GE.


88

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoon (M.MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:46 am

Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoon.

Phir bhi yaro tanha MASOOD tanha reh gaya hoon.

Ban gaya mohtaj dil unki nazer ka ;

mai fakeer -e- yaar banke reh gaya hoon.

Zindagi ki shakl mein hai ek bejaan ;

toota dil hai jann fanah mein lut gaya hoon.

Hona to wahi hai jo wo chahega ;

Mai to bus kirdar banke reh gaya hoon.

Jakhmi to dono hue baraber thay;

wo chal wasa aur mai tadapta reh gaya hoon.

Ro padata hoon bus jara si baat per;

Shayad mai thoda sa naadaan reh gaya hoon.

Ishk teri dooriyaa subhanallah ;

pas aya tauba karke reh gaya hoon.

Ek daur tha mai bhi bada khuddar tha ;

Per kya karun majboor banke reh gaya hoon.

Ye haal hai naakam hoker ishk mein;

Jaise koi maat khaker reh gaya hoon.

Hara bhi to apne dil se mastghan ;

Apne hi paase mein fansker reh gaya hoon


89

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Mujhe teri mohabbt ne Bohot buzdil bna dala (M.MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:50 am

Haqiqat ashna mere,

Tujhe shayad khabar ho gi?

Mujhe teri mohabbt ne,

Bohot buzdil bna dala,

Main hr us shay se darte hoon,

Tujhe jo cheen sakti hay,

Main un lamhon se darte hoon,

Judaie jin may rehti hay,

Main un ashkon se darta hoon,

Jo ban kr yad behte hen,

Main un lafzon se darta hoon,

Jo khamoshi me rhte hen,

Bicharne ki mere ham-dam,

May hr surat se darta hoon,

Tujhe shayad khabar ho gi?

Mujhe teri mohabbat ne

Bohot Buzdil Bana Dala.




90

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho (M,MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 3:58 am

Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do


Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do


Main kitna chaha hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do


Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do


Mujhe qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do



91

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Jisam Ki MoAT Par TU Sabhi Roty Hain (M,MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 4:00 am

Jisam Ki MoAT Par TU Sabhi Roty Hain

Marny WalOn K PiyarOn SE MiLtY Hain

Un Ki DiL-jooi Karty Hain

SuNo .!!

Mera DiL MAr GYA He

Es Ka Matam Karo

Mery Sath Bain DaLo

Mujhe Dilasa Do

K Jisam Ki MoAt Itni Khatan Nahi

Jitni DiL Ki he

Kya Tum Ne kabi Sahiii He?


92

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty log kahte hai main beti parayi hu (M.MASOOD)UK

Post by Guest Wed Dec 19, 2012 4:45 am

Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu


Main Nasibon Ki Mari Satayi Hu
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu
Zindaghi Ka Meri Sab Kare Faisla
Unki Merzi Se Hi Main Behayi Hu

Chikhtein Chilate Lamho Mai Main Bikhrti Gayi
Kuch Na Kerke Bhi Main Sab Se Darti Gayi
Her Kisi Ki Main Satayi Hu
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu
Bebasi Ki Qaid Pehena Ke Mujhko
Meri Shadi Ka Kiu Tamasha Howa?
Main Tu Dolhan Bani Eak Laash Thi
Meri Mhendi Ka Rang Bhi Fika Howa
Unki Merzi Se Hi Main Sajayi Hu
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu

Mujhko Babul Ne Bhi Apna Na Samjha
Mujhko Sajan Ne Bhi Apna Na Samjha
Aoulad Ki Khoshi Bi Na Nesib Me Leke Aaye Hu
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu

Mujhko Paida Kerke Koi Dafna De Fir Se
Jo Thi Jahalat Woh Aaj Bhi Koi Kerle Abhi Se
Maot Se Tu Hoyi Thi Ezat Ke Saath Fir Bhi Dafan
Aaj Roswa Kerke Luta Sab Ne Mera Kafan
Kaisi Taqdeer Leke Main Ayi Hu?
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu

Main Tu Tokdo Main Hi Katti Gayi
Beti Banke Tere Gher Se Batti Gayi
Maa Bhen Beti Ke Teen Hisse Hoye
En Hi Hisso Main Mere Qayi Qisse Hoye
Darte Darte Sabhi Se Sir Jhokayi Hu
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu

Apni Aarzo Ko Main Chopao Kaha?
Mera Dil Chaye Kiya Main Batao Kaha?
Meri Hasrat Roye Kiu Ayesa Howa?
Babul Tera Bhi Gher Na Mera Howa
Tere Gher Mhemaan Banke Main Ayi Hu
Log Kahte Hai Main Beti Parayi Hu

(Apnee Biti Ke Naam)
```````huma```````


93@

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Hum Bahot Roye Woh Jab Yaad Aaya (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:09 am

Dil Dhadkane Ka Sabab Yaad Aaya
Woh Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalana Aye Dost
Tu Musibat Mein Ajab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Lekin
Jab Woh Rukhsat Huey Tab Yaad Aaya

Din Guzaara Tha Badi Mushkil Se
Phir Tera Wada-e-Shab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Mein masood
Hum Bahot Roye Woh Jab Yaad Aaya



94

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Ek zara si larki ne pyar ki khudai di (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:12 am


Pyar ki nai dastk dil pe phir sonai di
Chand si koi sorat khwab me dikhai di


Kisne miri palko pe titlion k par rakhe
Aj apni aahat b deer tak sonai di


Asma zmen rakh k dono 1 muthi me
Ek zara si larki ne pyar ki khudai di


Ye tang mzaji to kher us ki fitrat he
Warna us ne chaht b hum ko inthai di..



95

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Ek Shakhs Se Hum Ne Mohabbat Ki (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:16 am

Gham-O-Dukh K Ye Ishare Tum Na Samjho Ge,
Jo Din Hum Ne Tumhare Bin Guzare Tum Na Samjho Ge,


Tumhain Kese Bataein Tum Hamare Waste Kiya Ho,
Samandar Ki Kahani Mein Kinare Tum Na Samjho Ge,


Bus Itna Jan Lo Ek Shakhs Se Hum Ne Mohabbat Ki,
Hamare Tootne Ka Kheil Piyare Tum Na Samjho Ge,


Hazaron Mushkilon Se Kheil Kar Bhi Jeetne Wale,
Ye Aakhir Kis Jaga Per Aa K Haaray Tum Na Samjho Ge



96

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty main ab kabhi teri awaz sun na paoungi (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:19 am

kamaal-e-zabt to main khud bhi to azmaon gi
Main apne haath se uski dulhan sajaon gi


supurd kar ke use chaandni ke haathon
main apne ghar ke andheron ko laut aaongi


badan ke karb ko woh bhi samajh na payega
main dil main roungi aankhon main muskroungi


woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
main kis se rooth sakoungi kise manaongi


woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukhaoungii


bichaa diya tha gulabon ke saath apna wajood
woh sou ke uthe to khwaabon ki raakh uthaoungi


ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua
main kis ki nazam akele main gungunaoungi


javaz dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha ke main us ko bhool jaoungi


samaton main ghanay jangalon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaz sun na paoungi



97

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty HUMEIN ITNA PYAAR KYUN KARTE HO (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:22 am


Rooth kay bhi tum hamein yaad kyun kartay ho
zamanay say juda hokar hamein pyaar kyun kartey ho

hum tu teray bina jeena seekh gayein hain
phir hamaray naam ko apnay saath mansoob kyun kartay ho

hamaray dil kay zakham to abhi tak taaza hain
phir hamein yaad karkay ankhon ko ashk baar kyun kartay ho

jeevan kay ik ik moor pay tum yunhi
mujhe apna bana kar logon kay taaney kyun bardaasht kartay ho

meray dil kay darwaazey kab say teeray liye khulay hain
tum saamnay ka bajayey hamesha peechay say waar kyun kartay ho

meri ghazalein faqt teray liye hain
phir dil kay teeron say mera hi shikar kyun kartay ho.




98


Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty wo khuwab he khuwab pure hote he kabhi (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:26 am

qun na ras ayi kabhi rasme wafa ham ko
dil tujhe deke bhi gham mile ham ko


qun tujhe piya fir bhi itna karte hei
jab ki na chen mila pal -do- pal ham ko


log to piyar me haste hei kabhi rote hei
ek ham he jo sadan piyar me roye ham to


gham tune hijr ke etne diye sehna sake
yad me tadhfe sadan gham me jiye ham to


qun teri chah me ummid me ham zinda hei
jabki malum he tu lot ke na ayega hamko


MASOOD kis aas pe ummid pe zinda he abhi
wo khuwab he khuwab pure hote he kabhi




99

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 4 Empty Re: MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 4 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum