Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Page 7 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kab Tak Raho Ge Door Ham se (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 9:33 pm

Kab Tak Raho Ge Aakhir,
Yun Door Door Ham Se..?

Milna Parre Ga Aakhir,
Ek Din Zaroor Ham Se...

Daaman Bachanay Wale,
Ye Be-Rukhi Hai Kesi..?

Keh Do Agar Hua Hai,
Koi Kasoor Ham Se...

Ham Chheen Lain Ge Tum Se,
Ye Shan-E-Beniyazi...

Tum Mangte Phiro Ge,
Apna Gharoor Ham Se..




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
150

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kabhi Palkon Ki Chaa MASOOD un Main (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 9:38 pm

Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain


Teri Baaton Say Is Dil Ko
Bohat Aabad Rakhtay Hain


Kabhi Dil Kay Sahifay Per
Tujhay Tasveer Kartay Hain


Kabhi Palkon Ki Chaâ .MASOOD un Main
Tujhay Zanjeer Kartay Hain


Kabhi Khowabeda Shaamon Main
Kabhi Barish Ki Raaton Main


Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
151

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 9:44 pm

Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi,
Khawon me jaisa maine deka bilkul vaisi lagegi,


Khubsurat pari is sindar,


Gore honthon me mehndi bhi badi gehri chadegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi,


Hosh ud jayenge dekhne walo ke,
Jab tere mathe ki bindiya tare jaisi lagegi,


Jab tere hathon me chudiya khankegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi,


Sajkar niklegi tu ghar se bahar,
Jamane ki najre tera peecha karenge,


Aankhon me kajal lagakar jaana
Isse tu buri najar se bachegi..


Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi


Resham se balon ko jab tu ghunghat se dhakegi,
Nagin se lahrayengi yeh julfe.


Jab tu hole si chalegi,
Na reh paunga bin tuje dekhe.


Us raat yeh aankh kaise lagegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
152

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Ek bar mere bete aja tu lot kar (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:23 pm

Oh mere dil ke tukde mere chand hai kahan,
Teri maa tadhaf arhi teri yad mei yahan..!


Oh mere lal meri aankh ke tare,
Teri maa bhatak rhi hei teri yaad ke sahare..!


Aawaj deke mujh ko ek bar tu bulaa,
Oh mere laal tujhko dhundu me kahan..!


Ek bar mere bete aja tu lot kar,
Oh mere dil ke tukde mere chand hai kahan



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
153

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Bibbo Roti he teri yaad me waapas aajaa (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:26 pm

Oh mere laal mere dil kahan tu aaja,
Me tadhapti hun teri yaad me wapas ajaa..!


Tere bin zindagi bhati nahi bete mere,
Aja-aja tujhe baanhoonme me bhar kar rolu..!


Mere bete -o- mere jigar ke tukre aaja,
Ashq ruk te nahi mere ye dikhadu tujh ko..!


Teri yado me jina dushwaar he bete aaja,
Zeher judai ka kese piti hu btadun tujhko..!


Chup ke chup ke me rooti hun dikha dun aaja,
Teri yaado me- me har pal yun ghut ke jiti hun..!


Meri aahei he be aasar kun ye btade aaja,
Apni maam to ko gale ake lagale aaja..!


Sari duni ko btade ki meri maa he ye,
Kit na kar ti he tujhe piyaar batade aaja..!


Mere -asif- mere jane jigaar piyaare bete,
Bibbo. Roti he teri yaad me waapas aajaa..



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
154

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kar degi maf sari khatayi teri maa (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:28 pm

Aanchal mei apne tujh ko chupalegi teri maa,
Aaja mere bete bhatak ta hei tu kahan..!



Dunia badi zalim hai bach na sabhi se tu,
Maa jesa tujh ko pyar mile ga whan khan..!



Meri duayi har pal tere sath sath hei,
Kar ke ankhei band pukarega tu jahan..!



Har sans meri tujh ko deti he ye duwa,
Dunia me tu jhan ho khushiya ho sab wahan !



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
155

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Rooti aankho ne bhi pukara hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:33 pm

Tu nahi hai to tera gham meri tanhai hai,
Teri ek yaad hai jo mere dil ko bhai hai…!


Ankh nam hai or dil me dard ka aalam,
Honth sii kar bhi ruswai yahan uthai hai…!


Kya gamon ko hi pyar kehte hai,
Ya taqdeete moohabbat hi judai hai…!


Haal dil ka kuch aaj aisa hai sajan,
Tadhapte dil ne tumhe hi pukara hai…


Dil ki dharkan tumhai bulati hai,
Rukti sanson ne bhi pukara hai..


Mera ye room room kehta hai,
Bhige honton ne bhi pukara hai…!


Raat barsat ki hai ajao ye ishara hai,
Thak gaye kar ke intzaar tumhara hai


Rooti aankho ne bhi pukara hai
Rooti aankho ne bhi pukara hai


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
156

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Ban kar (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:46 pm

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Ban kar,
Hum Se Her shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar…


Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah,
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban kar…


Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash,
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban kar…


Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Meray Honton Pey Machalta Hai Tu Naghma Ban kar…


Raat Bhi aaye To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Ban kar…


Mera Kiya Haal Hai Tere Bina Kabhi dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Ban kar…


Dhoop Mein Kho Gaya Wo Hath Chura Kar
Ghar Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar…


Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Ban kar,
Hum Say Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar…




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
157

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty dard mein dooba hoon mein kisi saahil ki tarah (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:49 pm

Gam ke saaye badhe aate hai kisi qaatil ki tarah,
dard mein dooba hoon mein kisi saahil ki tarah…!


Koi bhi to aisa nahin jis se keh sake Haal-E-Dil ham,
aaj apne hi door dikhte hai kisi manzil ki tarah…!


Mere muqaddar mein bebasi ke siway kuch bhi nahin,
haath ki lakeerien padhta hoon kisi zaahil ki tarah…!


Andhere mujh ko kya darayenge Raah-E-Zindagi mein,
mere dil ka har daag roshan hai kisi mehfil ki tarah…!


Gam ke sagar mein kuch yun ham doobe hai “MASOOD”,
khushi ke katre se bhi khauf khate hai buzdil ki tarah…!





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
158

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Mein barson se sawalon ki uljhano mein hun (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 10:56 pm

Tumhein jab kabhi mile fursat meri rooh per se yeh bhoj utar do,
Apni zindagi ki hazar shamo mein se aik sham udhar do…


Mein barson se sawalon ki uljhano mein hun,
Meri zindagi ki uljhano ko aa kar suljha do…


Yeh karab ke lamhay meine tanha guzaray hain,
Mere wajood per se yeh dard ki chaddar hata do…


Tum kia jano pyaasa rehna kia hai,
Aa kar mujhe do boond pani ki de do…


Nangay paon chala hun taptay hue sehra pe,
Mere zakhmi pairon pe ab phoolon ka marham rakh do…


Meri aankhon mein ansooun ko rehne ki aadat si ho gayi hai,
Ae Khuda ! tarap utha hun mein ab to is nadi ko thehra do…


Jab kabhi koi poochey ga tum se buland hoslay ka matlab,
Yeh dua hai meri tum sirf “MASOOD” ka nam do





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
159

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Main aksar naraaz ho jaata hoon us parchai se (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 11:01 pm

Main aksar naraaz ho jaata hoon us parchai se,
ke woh jab bhi aati hai dil mein ek dard jaga jaati hai,


Waise dil mein ek meethi si lehar bhi audti hai,
jo unki yaad ko phir taaza bana jaati hai..


Aur jaise jaise waqt guzarta jaata hai,
unki yahi tasveer dhadkano mein samaa jaati hai,


Main isi se khush rakhna chahta hun apne dil ko,
par na jaane kyon unse milne ki talab mujhe satati hai..


Jab bhi main us parchai ko gaur se dekhta hoon,
to mujhe unki saadgi hi nazar aati hai,


Haan wahi saadgi, jis par main sab kuch lutaa baitha hoon,
wahi saadgi, jo mujhe unki sachchi tasveer dikhlaati hai..


Dhundli si unki ek parchai nazar aati hai,
jo aati to hai pal bhar ke liye, aur chali jaati hai..





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
160

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Koi nai apna kehne ke liye (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 11:06 pm

Ye pal kabhi nai rukta kisi ke liye,
Har pal har mod Tanha hai sirf mere liye,


Koi nai apna kehne ke liye,
Zindagi ek saza hai jeene ke liye,


Pyar ek dhokha hai paane ke liye,
Yun to yaha bheed hai logo ki,Par har koi yah marta Paiso k liye,


Jeena Padega Janam dene walo ke liye,
Marna padega ek din Zamane ke liye,


Apne liye Kya kiya maine,
Har pal marti rahi Pyar “Paane ke liye





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
161

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 11:11 pm

Doob Jata Hun Unki Aankhon Mein
Gahri Jheel Hain Unki Aankhein


Bah Jata Hun Unki Aankhon Mein
Bahti Nadiya Hain Unki Aankhein


Kho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Atha Sagar Hain Unki Aankhein


Jal Jata Hun Unki Aankhon Mein
Jwala Mukhi Hain Unki Aankhein


Bheeg Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kali Ghata Hain Unki Aankhein


Kya Se Kya Ho Jata Hun Unki Aankhon Mein
Kaisi Aur Kya Balaa Hain Unki Aankhein




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
162

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Tere Khiyaalon say nikalnay ka koi irada nahi hay (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 11:13 pm

Tere Khiyaalon say nikalnay ka koi irada nahi hay
Lakin tujay bhool janay k siwa bhi koi chara nahi hay


Iss jahan mein har koi apna sa lagta hay lakin
Nahi hay to faqt aik tu humara nahi hay


Mere liay tum bhi udaas na rehnay lago kahin
Ye mohabbat ko humari gawara nahi hay


Kabhi tujay apni zindagi ka hasil kahtay thay hum
Aab us KHUDA kay siwa ko sahahra nahi hay


Manzil hum say duur he rahi humesha
Shayed iss samandar ka koi kinara nahi hay


Har mord par tujay he yaad kara mein nay
Or tu kahta hay k pukara he nahi hay


Aakar aik bar hum say mil lay aay dost k
Phir tere seher say guzarnay ka irada nahi hay


Tuj say bichar kay tanhai bardh gai meri
Kay tere bad kise ko hum nay chaha nahi hay



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
163

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Mujhay Bas Itna Kehna Hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 11:18 pm


Mujhay Bas Itna Kehna Hai...
Kabhi Main Yaad Aaoon To...

Kabhi Tanhae Ki Raatain...
Tumhain Ziada Sataein To..

Kabhi Titli Na Bolay To....
Aur Jugnoo Lout Jaye To...

Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaye...
Koi Jab Sunn Na Paye To....

Agar Sab Dost Sathi Be...
Jo Tum Se Rooth Jaaein To...

Kabhi Jab Khud Se Lar Lar Kar...
Thakan Se Choor Ho Jao...

Kabhi Chahtay Huay Be Khud Akelay..
Ro Na Paao To...

Apni Aankhon Ko Band Karna..
Mujhay Aawaz De Dena.






BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
164

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Yaad Aate Hain Wo School Ke Din (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 11:20 pm

Yaad Aate Hain Wo School Ke Din
Na Jaate The School Doshton Ke Bin


Kaisi Wo Doshti Thi Kaisa Tha Wo Pyar
Ek Din Ki Judai Se Darte The Jab Aata Tha Saniwar


Chalte Chalte Pathron Main Marte The Thokar
Kabhi Hashte Gaate To Kabhi Chalte The Rokar


Kandhon Main Keetab Liye Haath Main Botel Paani
Kise Pata Tha Bachpan Ki Doshti Bichhura Degi Jawaani


Yaad Aate Hain Wo Shayahi Se Range Haath
Kaya Din The Wo Jab Karte The Lunch Saath


Chhutti Ki Ghanti Sunte Hi Wo Bhag Ke Kamre Se Bahar Aana
Fir Hashte Hashte Doshton Se Mil Jaana


Kaash Wo Dosht Aaj Bhi Mil Jaate
Dil Main Fir Se Bachpan Ke Phool Khil Jaate




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
165

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Mere har shayar mein har Ghazal mein aane laga hai tu (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:02 am

Pyaar ka meetha Ehsaas dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu


Teri chahtoon ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu


Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu


Har pal mujhe hota hai bas tera hi Ehsaas
Is qadar meri saanson mein samaane laga hai tu


Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu


Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu


Naam koi bhi loon to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu


Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu


Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu


Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri banhoon mein samaane laga hai tu


Yeh to bata ke kya naam doon iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu


Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu


Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu


Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu


Kya is baat ka tujhey Ehsaas hai MASOOD
Mere har sher mein har Ghazal mein aane laga hai tu





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
166

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Lawaris Hi Sansar Mein Chod Diya (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:09 am

Ek Pedh Jisne Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di,
Apne Aanchal Mein Chupa Ke Rakha Nazar Kisi Ki Lagne Na Di


Yaad Ate Hai Bachpan Ke Din Jab Tu Mujhe Khilati Thi,
Har Bar Rone Par Tu Hi Mujhe Hasati Thi


Achi Neend Ke Liye Naajane Kaha Kaha
Se Nayi Loria Aur Kahaniya Lati Thi,


Ro Padhta Hai Yeh Dil Yad Karke Woh Din
Jab Haatho Se Apne Khana Khilati Thi


Teri Ungli Pakad Ke Maine Chalna Sikha,
Teri Hi Aankho Se Yeh Sansar Maine Dekha.


Bhagwan Khud Na Aa Ska Is Liye
Shayad Tujhe Mere Liye Bhej Diya,


Nhi To Woh Bhi To Hai Yaha Jinhe Lawaris Hi Sansar Mein Chod Diya.


Aaj Fer Teri God Mein Sone Ko Dil Kare,
Tere Hatho Se Khane Ko Dil Bekrar Hai


Yad Aa Gaye Woh Sunhere Din,
Dil Aaj Bhi Us Samay Mein Jane Ko Bekrar Hai


Bas Ab Yadein Hi Reh Gyi Yaad Karne Ko,
Bachpan Lot Ke To Aa Nhi Sakta,


Tujhe Kitna Chata Hu Maa
Tujhe Kabhi Yeh Bta Nhi Sajkta


Mera Har Saans Tera Ehsan Hai..
Jab Chahe Ise Le Lena,


Chod Ke Na Jana Kabii Chahe
Meri Sanse Bhi Mujhse Le Lena




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
167

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Wajood Apna, Na Rooh Apni (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:12 am

Wajood Apna, Na Rooh Apni
Bas Ik Tamasha Ye Zeest Thehri,


Na Dil-Lagi Mein Sakoon Paaya,
Na Aashqi Mein Qaraar Paaya,


Na Wasl Lamhey Hi Raas Aaye,
Na Firaaq Hi Hum Guzaar Paaye,


Ajab Ye Chahat K Marhaley Hain,
Na Jeet Paaye, Na Haar Paaye,


Na Hi Yadoon Ki Dhunnd Utri,
Na Dil K Daaman Ko Jhaar Paaye,


Na Aankhein Khawabon Ko Dhoond Paa’een,
Na Khawab Aankhon Ko Dhoond Paaye,


Bas Ik Tamasha Ye Zeest Thehri,
Wajood Apna, Na Rooh Apni


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
168

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Meri bhi ek Tamanna thi (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:16 am

Meri bhi ek tamana thi ke har pal main apke sath rahu,
Meri ye tamana chakna chur ho gai kisi k aa jane se…


Meri bhi ek tamana th k main har sukh dukh main apke sath rahu,
Meri ye tamana dil main hi dafan ho gai tumhe kisi or ke sath dekh kar..!


Meri bhi ek tamana thi ki main hamesha apko khush rakhu,
Meri ye tamana bich raste main hi adhuri reh gai kisi or ke aa jane se..!


Meri bhi ek tamanna thi ki main apka hamsafar banu,
Meri ye tamanna tod di aapne kisi ko apna humsafar bana ke.


Meri bhi ek tamana thi k main saye ki tarah apke sath chalu,
Meri ye tamana barbad kar di aapne khud ko hi andhere main le ja kar




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
169

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty mujhe dhoka diya nasib ne (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:21 am

Tum Ankhon Se Dur Ho Hui Nind Ankhon Se Dur
mere sathi Gam ki chot se hua dil ka shisha chur


mujhe shikava hai taqadir se nahi tum se koi Gila
mujhe lakar yun pardes men mera sab kuch chin liya


meri ankhon men ansu a base hun rone par majabur
mere zakhm hue pardesiya a ris-ris ke nasur


mujhe rogi karake pyar ka diya Gam ka rog laga
mere jalate hue charag ko meri qismat gai bujha


mujhe dhoka diya nasib ne nahi mera koi kusur
mujhe dhoka diya nasib ne nahi mera koi kusur





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
170

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Ek choti si badgumani (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:27 am

zikr uska meri kahaani mein
chand ka aks jaise paani mein


wo to khamosh hi rahe aur hum
janay kia keh gaye rawani mein


apni aankheN ganwaii hain hum nay
apne khwabon ki paasbani mein


itni muddat ka sath chhuut gaya
ek choti si badgumani mein



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
171

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kyun Dil mera us ka talabgaar tha (M,MASOOD)UK

Post by Guest Tue Jan 08, 2013 4:29 am

Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha,


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha,


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha,


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha,


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha,


Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
172

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kya karu ke dard ab teri judaai deti hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Jan 14, 2013 2:08 am

Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai,


Neend bhar soye hue arsa hua mujhko,
Ke rat bhar khwabo mein ab tu hi dikhai deti hai,


Khilkhilahat se teri khilta tha yun jo ghar,
Khamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai,


Jhoothi khushi se rokta hu saki main apna gam,
Tanhai aa aa kar mujhe sachhi rulai deti hai,


Kahte hai kaaynat mein rangi hai har ek shai,
Tere bin kaaynat par feeki dikayi deti hai,


Ret ke manind fisla ja raha hai waqt,
Ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai,


Chalte-chalte rah pe ab bahakte hai kadam,
Hawa ke jhonko mein tu hansti sunai deti hai,


Mahfil-o-masti mein tujhe ja ke kya dhundhe hum,
Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai,


Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,
Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai,


Neend bhar soye hue arsa hua mujhko,
Ke rat bhar khwabo mein ab tu hi dikhai deti hai.

BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
173

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Kabhi kitabon mein phool rakhna (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Jan 14, 2013 2:12 am

Kabhi kitabon mein phool rakhna
Kabhi darakhton pe naam likhna


Hamein bhi hai yaad aaj tak woh
Nazar se harf-e-salaam likhna


Woh chaand chehare woh bahaki baatein
Sulagate din the mahakati raatein


Woh chhote-chhote se kagazon par
Mohabbaton ke payaam likhna


Gulaab chehron se dil lagana
Woh chupake chupake nazar milana


Woh aarazoon ke khvab bunana
Woh kissaa-e-naatamaam likhna


Mere nagar ki hasin fazaao
Kahin jo unke nishaan paao


Toh poochna yeh kaha base ho
Kaha hai unka qayaam likhna


Ga_ii ruton mein hamara
Bas ek hi toh yeh mashagala tha


Kisi ke chehare ko subah kehna
Kisi ki zulfon ko shaam likhna

BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
174

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 7 Empty Re: MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 7 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum