Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Page 6 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty merii vaapasii kii duaa kare (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 28, 2012 12:19 am

mujh hii se baaten kiyaa kare
kabhii roye jaaye vo bepanaah


kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam


mere piichhe aa kar hansaa kare
merii qurbaten merii chaahaten


koii yaad kare qadam qadam
main taviil safar men huun agar


merii vaapasii kii duaa kare



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
125

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Par Mera Tho Sapna Adura tha (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 28, 2012 12:27 am

Mera Bhi Ek Sapna Tha,
Koi Mera Bhi Apna Tha.


Jiske Sangh Dheki Thi Maine Ne,
Jeewan Ka Har Sapna Tha..


Andhi Chali Pyar Ke Mehfil Mein,
Kashti Dubi Meri Jab Pass Kinara Tha..


Roi Thi,Tadpi Thi,
Uske Pyar Ne mujhe tanha Choda Tha..


Diya Sahara apnoo Ne Tha..
Khuda Nai huslya Jholi Main Bar Gaya Tha..


Par Kismat Ke Haath Khuda Bhi Majbur Huwa..
Khuda Ne Ghar Apne Mujhe Bhullaya Tha,


Keh Diya alvida Main Ne Sabse..
Par Mera Tho Sapna Adura Tha


by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
126

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty lekin rehne do (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:03 am

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!


Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!


Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakta hun,
lekin rehne do..!


Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!


Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
127

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty payrroon ne tera haal sunaaya mujhe din bhar (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:14 am

tapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar
yoon tere tasawur ne sataya mujhe din bhar


dil main wo kasak chorr gaya subha ka taara
ik lamha bhi aaraam na aaya mujhe din bhar


weeraan bayabaan main,kabhi ujrray gharon main
phirta raha lay kar tera saaya mujhe din bhar


deti rahi chaandni shab bhar mujhe aawaaz
sooraj ne bhi reh reh k bulaaya mujhe din bhar


har simt bhare sheher thay kiya jaaniye phir bhi
tanhaaii k ehsaas ne khaaya mujhe din bhar


lehje main ghani chhaaon k,paton ki zubaan main
payrroon ne tera haal sunaaya mujhe din bhar


ik pal main hi batlaa gaiin dam torrti kirnen
wo raaz jo aey "MASOOD" na paaya mujhe din bhar



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
128

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Koh gaye Andaaz Bhe Awaz Be Alfaz Bhe (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:21 am



Aaj Yuh Mausam Ne Di Jhanshan Mohabbat ki Khabar
Phoot Kar Rohne Lagyee Hain Mein Mohabbat Aur Tum


Hum Ne Jonhe Kar Liya Mehsoos Manzil Hai Kareeb
Rashtay Kohney Lage Hain Mein Mohabbat, Aur Tum


Chand Ki Kirnoon Ne Hum Ko Is Tara Bosa Diya
Devta Hone Lagay Hain Mein,Mohabbat Aur Tum


Aaj Phir Maehroomioon Ke Dastaanain Orh Kar
Khaak Mein Sonay Lagay Hain main Mubbat Aur Tum


Koh gaye Andaaz Bhe Awaz Be Alfaz Bhe
Khamoshi Dhohnay Lagay Hain Mein, Mohabbat Aur Tum


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
129

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Kash Tum DEKH Sakty (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:27 am

Kash Tum DEKH Sakty

Tuty Huy Dil Ko

Behty Huy Ansuon Ko

Is Adhury Mosam Ko

Kash Tum PARH Sakty

Mery Hathon Ki Lakeron Ko

Khawabon Ki Taberon Ko

Dil K Afsanon Ko

Kash Tum SaMJH Sakty

Mery Lafzon Ki Gehrai Ko

Honton Ki Sachai Ko

Mehfil Ki Tanhai Ko

Kash Tum JoRR Sakty

Iss DIL Ko.

Iss WADY Ko.

Lekin Ye Soch Kr Khamosh Ho Jata Hun.

KASH .Tum JAN Sakty Is Ishq Ko.KASH

Jee Leaty Agar MASOOD payaar Na Karty.



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
130

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:32 am

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga


Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga


Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga


Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Aapko Pashtaana Hoga


Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga


Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga


Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye MASOOD
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
131

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Ek Ansoon Gira Aur Rul Gaya Khak Mein (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:35 am

Us Ne Mujh Se,

Poocha Ek Roz,

Tumain Chahne Walon Se,

Dar Kyun Lagta Hai,

Kyun Baghte Ho,

Kyun Khamosh Rehte Ho,

Kyun Tanha Rehte Ho,

Mujay Koyi Jawab Na Mila Kehne Ko,

Bus..!!!

Ek Ansoon Gira Aur Rul Gaya Khak Mein


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
132

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:41 am

Jazbaat behkete hain jab tumse milta hun
Armaan machalte hai jab tumse milta hun


Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta,
Sab humse jalte hai jab tumse milta hun


Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho,
Toofan se chalte hain jab tum se milta hun


Haatho se hath milte hain hotho se hoth
Dil se dil milte hain,jab tumse milta hun


Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat,
Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hun


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
133

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty MAIN AAJ ROTH CHALA HOON MUJHE MANA K DHIKA (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:44 am

Tu apnay fun se meri chahat ko aazma k dikha..
Main toot'ta hoon tu phir say mujhe bana k dikha..


Tere badan mei lahu ban k dorta hoon main..
Tujhe anaa ki qasam hai mujhe bhula k dikha..


Main itne dard mei b Qeh-Qahay lagata hoon..
Tu aik dukh mei mujhe sirf muskura k dikha..


Tujhe to main ne hamesha manaya hai lekin..
MAIN AAJ ROTH CHALA HOON MUJHE MANA K DHIKA





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
134

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Mai jiski aankh ka aansoo tha usney qadr na ki (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:48 am

Agar yaqee’n nahi aata to aazmaye mujhey
Wo aaina hai to phir aaina dikhaye mujhey


Ajab charag hoo’n din raat jalta rehta hoo’n
Mai thak gaya hoo’n hawa se kaho bujhaye mujhey


Mai jiski aankh ka aansoo tha usney qadr na ki
Bikhar gaya hoo’n to ab rait se uthhaye mujhey


Boht dino’n se mai in pathharo’n mai patthar hoo’n
Koi to aaye zara dair ko rulaye mujhey


Mai chahta hoo’n k tum hee mujhey ijazat do
Tumhari tarah se koi galey lagaye mujhey



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
135

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Aaj Use Khat Jo Likha To Buhat Yaad Aya (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 5:52 am

Wo Jo Meri Ankh Mein Rehta Tha Kajal Ki Tarha
Aaj Kajal Jo Lagaya To Buhat Yaad Aya


Jis Ke Ane Se Sajati The Dar-O-Bam Khabi
Aaj Ghar Jo Sajaya To Buhat Yaad Aya


Kabhi Sajata Tha Phool Meri Zulfoon Mein
Aaj Apne Hatoon Se Sajaya To Buhat Yaad Aya


Har Eid Par Mitla Tha Us Ka Pyar Bhara Khat
Aaj Use Khat Jo Likha To Buhat Yaad Aya


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
136

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Sooni her manzil ho Aur tum aao (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 6:00 am

MASOOD Kabhi yun bhi to ho
Darya ka saahil ho
Pooray chand ki raat ho
Aur tum aao!



MASOOD yun bhi to ho
Pariyon ki mehfil ho
Koi tumhari baat ho
Aur tum aao!



MASOOD yun bhi to ho
Sooni her manzil ho
Koi na mere sath ho
Aur tum aao!



MASOOD yun bhi to ho
Yeh badal aisa toot k barsay
Mere dil ki terha milne ko
Tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar se



MASOOD yun bhi to ho
Tanhai ho,dil ho
Boondein hon,barsaat ho
Aur tum aao!
Kabhi yun bhi to ho




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
137

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Mera hamdam Mera sahara hy (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 6:05 am

Mera dil mujse kehta hy

Meri dharkan mai koi rehta hy

Khuwaab hy

Ya sapna hy

Wo ghair nhi

Mera apna hy

Jo raat hr muj ko jagata hy

Kuch

Kehte kehte

Chup ho jata hy

Meri sochon pe

Jis ka basera hy

Wo mera hy

han mera hy

Koi kahani

Koi qisa hy

Meri zaat ka

hisa hy

Mere hathon pe

jis ne likha hy

khwabon mai jis ko dekha hy

Wo koi chamkta tara hy

Mera hamdam

Mera sahara hy




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
138

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 6:08 am

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey


Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey


Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey


Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey


Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey


Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
139

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Guzray Pal ka Dilkash Sapna (M,MASOOD)UK

Post by Guest Sat Dec 29, 2012 6:14 am

Chor k Tum ko janay wala
Ik Din looat k aye to


Yaad ka Anchal Khushboo ban kar
Phir Tum per Lehraaye to


Koi Purana Zakhm Kuraiday
Meetha Dard Jagaaye to


Guzray Pal ka Dilkash Sapna
Ankhoon mein bas jaye to


Dil per Zakhm laganay wala
Marhum lay kar aye to


Maaan ka Sheesha tornay wala
Phir se Jornay aye to


Dhoop mein chor k janay wala
Saya ban k aye to


Dil se Dil ki raaye na poochoo
Dil pagal ho jaye to


Chor k Tum ko janay wala
ik din loat k aye to



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
140

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 31, 2012 3:13 am

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein



Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein



Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein



Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein



Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein



Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein..




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
141

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 31, 2012 3:20 am

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai


Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai


Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai


Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
142

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Fark sirf Itna Hoga (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 31, 2012 3:27 am

Tere Baraat Hogi
Mera Janaza Hoga


chaar Admmi Teray Sath Hongay
Char Admmi Meray Sath Hongay


Phool Tuj Per Be Hongay,
Phool Muj Per Be Hongay


Tuj Per Dulhan Ka Jora Hoga ,
Muj Per Kafan Ki Sajawat Hogi


Lali Tere Chehray Per hoge ,
Kuhsurat Mai Be Lag Rahahoonga


Fark sirf Itna Hoga


Tum Kisi Ki Zinagi Mai Jarahe Hoge
Main Tumhari Zindagi Say Jarahoonga


Mera Naseeb Tere Kismat Say acha Hoga
Yaqeen Na Aaye Tu Apnay Aankoon Say dekoo


Mera Jenaza Tere Barat Say Acha Hoga
Meray Sanmay rukhsat Jo Tere Baraat Hoga


Os Lamhay Gul-Shamma Hayat Hoge
Pehloo Mai kisi Kay Meray Kainat Hoge




BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
143

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty AUR AB YEH KHAMOSHI (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 31, 2012 3:31 am

Yeh khayal

Yeh tumhara intezaar

Yeh ruki ruki baatein

Yeh thori thori chahatein

Yeh majboori

Yeh doori

Yeh dillagi

Yeh dilkashi

Yeh dewanapan

Yeh akelepan

Yeh sochna

Yeh samajhna

Yeh dekhna

Yeh chehrey ka sharma jana

Yeh ankhon ka bher jana

Yeh mosam ka chala jana

Yeh dherkano ka ruk jana

Yeh batoun ka badal jaana

Yeh sansoun ka tehar jaana

Yeh thama huwa samaan

Yeh saara sansaar

Yeh tumhari saans

Yeh mera ehsaas

Kaash tum yahan hote, mere nahin to mere liye kuch to hote..

Aur ab......

Yeh Khamoshi


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
144

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Utha Ke Char Kandho Par Le Chalo Aaj (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 31, 2012 3:37 am

Intezar Ki Aaj Bahut Lambi Ghadi Hai,
Meri Dulhan Bankar Aaj Meri Mout Saji Hai..


Sajado Meri Arthi, Mere Liye Aaj Dosto,
Dulhan Se Milne Ki Mujhme Chah Badi Hai..!


Saja Khoon Se Laal Joda Uska Hai,
Khubsurat Aaj Woh Khub Lag Rahi Hai..


Na Tarsao Ab Is Dewane Ko,
Mout Se Milne Ki Mujhme Chah Badi Hai..!


Saj Chuki Hai Baraat Meri,
Bas Batatiyon Ki Kami Hai..


Aa Jao Mere Doston, Meri Maiyat Akeli Padi Hai
Utha Ke Char Kandho Par Le Chalo Aaj..


Mujhe Mout Ke Ghar Tum,
Dulhan Se Milne Ki Mujhme Chah Badi Hai..!


Dekh Lo Aakhiri Baar Mujhe,
Kafan Ka Sehra Utha Ke Dosto..


Aaj Mout Mere Intezar Me,
Dulhan Bani Khadi Hai..!





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
145

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Apne maa baap ko na door karo (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 31, 2012 3:42 am

Maa ke kadmon mei meri jannat hai,
Us ki khushio ki raab se mannat hai..!


Us ka aanchal sadan rahai sar pe,
Rab se mangi ye hi mannat hai..!


Meri maan haye kit ni bholi hai,
Meri khushiyon me us ki holli hai..!


Jan us par nisar kar dun mei,
Meri khushia wo meri jannat hai..!


Meri to sabhi se eltaja hai yehi,
Sabhi maa baap ko piyar karo..


Duniya ki Khushia un par nisar karo,
Qaadmon me unke dunia war karo..!


Jitna bhi doge piyar wo kam hai,
Un ki qurbanio me wo dam hai..


Un ka koi jawab nahi be looc chahat hai,
Un ke peroon me hamari jaannat hai..!


Sari dunia ek taraf or maa bap ek taraf,
Un ki koi mishal nahi unka koi jawab nhi..!


Sab ko naseeb hon maa baap ka pyar,
Unke jesi jahan me koi duji chaiez nhi..!


Tham lo unke budhey hathon ko,
Un ke jesa jhaan me koi garib nhi..!


Duniya me un jaise koi qarib nhi,
Wo na hote to tumhara naseeb nhi..!


Sab ko bas apna apna kehna hai,
Apni biwi apna gehna hai..!


Ye nhi jan te ki kal en ko fir se,
Maa baap ban ke rehna hai..!

Wohi batte hai fir wohi sab hai,
Waqt dohrayega wo sab jo kal..


Tumhare sath zaaroor hona hai..!
Jo fasal bodi wo to katoge,


Ye to dastur bahut purana hai..!
Kesi lagi bibbo ki ye bate tum ko,


Padh ke in ko zaara goor karo..
Apne maa baap ko na door karo



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
146

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Bohat dard ho raha hai maa (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 9:14 pm

Dard hua to dil se awaz aye maa
Takleef hue to yaad teri aye maa

Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke
Phir majhey tere achal ki yaad aye maa

Main kitna badnaseeb hoon
Logo se piyaar maanga maine Mile mujhey Tanhai

Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya
Aur main teri hi kadar na kar saka maa

Badgumani mein har ek ko maine Seena se lagaya
Bus Badnaseebi to dheko
bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa

Duniya ki ranginyon mein kohya raha
bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha

Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha
Main badnaseeb teri maafi ke kabil bhi na raha

Jab Hosh mein aya To maloom hua ke
koi apna nehi bus tere siwa maa

Teri goad main sar rakh ke
ro ro ke mout-e-faryad ki dua ki

Maa na rote rote apni zindagi
apni khushiya bhi mere naam ki

Main Kitna beaqal kamzarf hoon
Tera khwab bhi pura na kar saka
main tere leya kuch bhi na kar saka maa

Maine kitna dhuk diya
Aur tuney uff tak na ki maa

tuney kabhi na saath chora
Na kabhi kuch kaha mujhey tuney maa

bus ek khwab hai zindagi ka
beshak kuch mile na mile

main kuch bano ya na bano
bus ek arman hai zindagi ka

Main ek dafa teri goad main sar rakh sakon maa
woh sakoon-e-neend pana chahta hoon maa

Bohat dard ho raha hai maa
apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do maa


(APPNI MAA KE NAAM)


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
147

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Behen Masoom Si hoti Hain (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 9:24 pm

Bohat Chanchal,
Bohat Khushnuma Si Hoti Hain Behen.

Nazuk Sa Dil Rakhti Hain,
Masoom Si Hoti Hain Behen.

Baat Baat Pe Rowti Hain,
Jhagarti Hain, Larti Hain Nadan Si Hoti Hain Behen.
Hain Rehmat Se Bharpoor Allah Ki Rehmat Hoti Hain Behen.

Ghar Bhi Mehak Uthta Hai Jab Muskurati Hain Behen.
Hoti Hai Ajeeb Si Kefiyat Jab Chhor Ke Chali Jati Hain Behen.

Ghar Lagta Hai Soona Soona Kitna Rula Jati Hain Behen
Bohat Chanchal, Bohat Khushnuma Si Hoti Hain Behen.

(APPNI 7 BEHEN KE NAAM)

BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
148


Last edited by mohammed masood on Tue Jan 08, 2013 3:29 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty APPNI 7 BEHEN KE NAAM (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Jan 03, 2013 9:29 pm

Ho puri dil ki har khwahish aapki,
Aur mile khushiyon ka jahan aapko,

Jab agar aap mange aasma ka ek tara,
To bhagwan dede sara aasma aapko.

Dua karte hain hum sar jhuka ke,
Aap apni manzil ko paye.

Agar aapki rahon me kabhi andhera aaye,
To roshni ke liye khuda humko jalaye…

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,
Hansi chamakti rahe aapki nigaah mein.

Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.

Yahi dua karta hu khuda se,
Aapki zindigi mein koi Gam na ho,

Janamdin per mile hazaro khusiyan,
Chahe unme shaamil hum na ho



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
149


Last edited by mohammed masood on Tue Jan 08, 2013 3:29 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 6 Empty Re: MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 6 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum