Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Page 5 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty SHAM HI KUCH SOGAWAR SI (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:32 am

sham hi

kuch sogawar si

thaki thaki khoi khoi

dhal rahi hi rat mi

sahill say sir patakti moji bhi

issi sham ko

alwadaya geet sona rahi hin

har sham ki tarha

yeh sham bhi

tomharay intazar ki shamai bujha kar

shab ki chadar urh rahi hi

sehar ka phir bhi intazar hi

go ki yeh sham bar hi

dil kiyun ye manta nahi

kia wo yeh janta nahi

sogawar yeh jo sham hi

ik baywafa ki nam hi





100

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty December ki kisi srd raat (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:36 am

December ki kisi srd raat

Aisa b hoga...

Tere na aany ka sun kr

Meri aah srd hojaygi..

Hr daali zrd hojaygi..

Aur main

Ankhon mein

Munjamid yaqeen liye

Bohht Door chla jaaoonga..!!

Bohht door chla jaaoonga..!!




101

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty chhorh jane waley bhi kabhi tau laut aate hain (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:40 am

iss tarah nahi kartey raabta tau rakhte hain
thorha milne julne ka silsila tau rakhte hain


manzilain buland ho'n tau mushkilain to hoti hain
mushkilo'n se larhne ka hausla tau rakhte hain


jo tumharey apne ho'n tum pe jaan daite ho'n
unka haal kaisa hai ye pata tau rakhte hain


PAYAAR k rishte ko bhulte nahi aisey
rotthey dosto'n se bhi rabta tau rakhte hain


chhorh jane waley bhi kabhi tau laut aate hain
laut k phir aane ka raasta tau rakhte hain




102

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Ankhon Se Mera Dard Pehchan Liya Kar (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:44 am

Itna To Mere Haal Par Ahsaan Kya Kar,
Ankhon Se Mera Dard Pehchan Liya Kar,


Koi Sath De Safar Main Bohat Thak Gaya Hoon Main,
Kuch Pal Hon Tere Sath, Meri Maan Liya Kar


Afsane Mohabat K Adhure Na Chor Tu,
Jurm-E-Wafa Ka Mujh Se Har Bayaan Liya Kar,


Muddat Hoi Is Aas Par Thehra Howa Hoon Main
Bhule Se Kabhi Tu Bhi Mera Naam Liya Kar,


Tu Apni Zaat Se Wabasta Kar Mujhe,
Ho Kar Khafa na Mujh Se Meri Jaan Liya Kar....




103

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Dukh tou ek jesa hay (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:48 am

Be-khuloos logo'n se
Ijtinab karna hay

Mujhy apne rishto'n ka
Ehtisab karna hay

Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay

Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay



104

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Roz chale aaty ho khuwab main mere (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:52 am

Na koi subha na koi sham dety ho
Dil darakne ko muhabat ka nam dety ho


Roz chale aaty ho khuwab main mere
In ankhon ko na ik pal tum aram detey ho


Tum na pucho gay kabi mera hal e dil or
Gairo ko har roz salam dety ho


Hum ne yad rakha is leye mujrim thehre
Shayad bhool jane pe tum inam dety ho ?



105

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty SUNA HOGA BOHAT TUM NE (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:54 am



kaheen aankhon ki rimjhim ka

kaheen palkon ki shabnam ka

kaheen lahje ki barish ka

kaheen saaghar k aansu ka

magar tumne?..

kabi humdam?

kaheen dekha??

kaheen parkha..?

kisi tahreer k aansu??

mujhe teri judai ne

yahi meraaj bakhshi hai

k me jo lafiz likhta hon

wo saare lafiz rote hein

maire sang is judai mein

maire alfaaz marte hein

meri tahreer ki lakin

kabi koi nahi sunta

maire alfaaz ki siski

falak bi jo hila daale

maire lafzon mein hain shamil

isy taaseer k aansu

kabi dekho maire humdam

meri tahreer k aansu?



106

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Dard Jeet Jata Hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 21, 2012 4:56 am

Dard Jeet Jata hain..

Log Milty Julty Hain..

Sath Sath Chalty Hain..

Sath Sath Chalne Main..

Ranjishein Bi Hoti Hain..

Ranjishon Main Bi Lekin..

Chahatein Bi Hoti Hain..

Chahaton Ki Bi Har Pal..

Ik Ajab Kahani Hai..

Hot Hansty Rehty Hain..

Ankhein Bheeg Jati Hain..

Bheegi Si Nigahon Main..

Khuwab Jalty Bujty Hain..

Dard Ke Is Safar Main Kuch..

Aisy Mor Bi Aty Hain..

Khuwab Toot Jaty Hain..

Sath Choot Jaty Hain..

Kircheian Uthaney Main..

Waqt Beet Jata Hai..

Dard Jeet Jata Hai..



BY
M,MASOOD
NOTTINGHAM
UK

107


Last edited by mohammed masood on Mon Dec 24, 2012 5:15 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Dil Say Chaha Who Hum ko Mila Nahi (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:37 am

Kuch Majboriyan Theen Meri Main Bewafa Nahi
Shayad Ho Lehja Talkh Pr Main Buri Nahi


Ye Zindagi Hamari kuch Es Tarha Hai Guzri
Jeeny ka Mujh Main Baqi Ab Hosala Nhi


Gardish ? e -Zindagi Main Paya Tou Boht kuch .
Lykin Jo Dil Say Chaha Who Hum ko Mila Nahi


Kuch Rishton ki Majboriyan kuch Rasmon ki Diwaar Thi
Taqdeer Say Hum ko Tou koi Gila Nahi


Ik Shaks ki Mangi Thi Hamnye Duaa
Hath Us ky Bad Ab Tlak Phir Utha Nahi

BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK 108

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Ta k dunya ye na samjhy ham men doori ho gai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:40 am

Dil dukha kr, aazma kr ya rula kr chorna.
Ham ne seekha hi nahi apna bana kr chorna.


Ta k dunya ye na samjhy ham men doori ho gai.
Sath jab bhi chorna to muskara kr chorna.


Hain tareeqy or bhi mujh se bicharny k liay.
Kya zaruri hy koi tohmat laga kr chorna.?


Hosh baqi reh gya to ji nhi paaon ga main.
Kuch na yad aay mujhy, itni pila kr chorna.


Tail k badly chahy apna lahu dena pary.MASOOD
Apni fitrat hy charagho?n ko jala kr chorna.



BY
MOHAMMED MASOOD

109

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Nei manzilon ki talash thi so bicher gy (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:43 am

Tujhy zindgi ka shaoor tha tera kia bana?
Tujhy zindgi ka sha\'oor tha tera kia bana?


Tu khamosh kun hai mujy bata tera kia bana?
Wo naseeb se teri jang thi \"mri b thi\"


Mein to kamyaab na ho saka, tera kia bana?
Nei manzilon ki talash thi so bicher gy


Mein bicher k tuj se bhatak gia, tera kia bana?
Mein to muqabley mein shareek tha faqat iss

Tera kia bana

BY
MOHAMMED MASOOD
NOTTINGHAM
110

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Tamaam rung meray aur saray khuwaab meray (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:45 am

Tamaam rung meray aur saray khuwaab meray
Fasaana tha kay fasaana bana gaya ek shaks


Main kisi hawa mein urroon kisi faza mein lehraoon
Dukhoon kay jaal her aik soo bechaa gaya ek shaks


Palat sakoon main na aagay hii baher sakoon jis per
Mujhay ye koun se rastay laga gaya ek shaks


Muhabbatein bhi aajab uss ki nafratein bhi kamaa
Meri terha ka hi mujh mein sama gaya ek shaks


Woh mahtaab tha marhum badasth aaya tha!
Mager kuch aur sewa dil dukha gaya ek shaks


Khula yeh raaz ki aaina ekhana hai duniya
Aur is mein mujh ko tamasha bana gaya ek shaks


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
111

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Pyar chupta nahi chupanay say (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:50 am

Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say


Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say


Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say


Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bananay say


Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say


Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say


Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
112

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:52 am

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar...
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...


Kary Pyar Jo ,Tou Gila Na Hoo...
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai...


Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi...
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai...


Wo Aankh Hai Mere Ru Baru...
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai...


Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar...
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...


Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka...
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka...


Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar...
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka...


Wohi Shakhs Meri Talassh Hai...
Wohi Dard Mera Hayaat Hai...


Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar....
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGAHM
UK
113

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Ankhon Pe Apni Yaad K Pehra Bitha Gya (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 4:56 am

Wo Shaks Raat Phir Meri Hansti Pe Chaa Gaya
Itna Kareeb Aya K Dil Main Sama Gaya


Wo Aik Pal Jo Degaya Asoodgi Ki Lehar
Jazbon Ki Taza Dhoop Main Pagal Bana Gaya


Phele Mre Wajud Main Utra Wo Bond Bond
Barsa To Pir Ghata Ki Trhan Mjh Pe Chahgaya


Wo Jab Mila To Piyas Se Lab Khushk The Bohat
Lauta To Hasraton Ko Wo Pani Pila Gaya


Paband Kar Gayamjhe Lamhon Ki Qaid Main
Ankhon Pe Apni Yaad K Pehra Bitha Gya



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
114

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Har Baar Parindon Ko Rehai Na Dia Kar (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 5:00 am

Har Baar Mujhe Zakham-e-Judai Na Dia Kar..
Agar Mera Nahi Mujh Ko Dikhai Na Dia Kar..


Sach Jhoot Teri Ankh Se Hojata He Zahir,
Qasmey Na Utha Itni Safai Na Dia Kar,...


Maloom He Tu Rehta He Ab Mujh Se Gurezan,
Pas Aake Muhabbat Ki Duhai Na Dia Kar...


Ehsas Nahi Tujh Ko Agar Meri Tanhai Ka,
Aouron Ko Bhi Tu Dars-e-Bhalai Na Dia Kar...


Urh Jain To Phir Lout K Kab Aatain Hain,
Har Baar Parindon Ko Rehai Na Dia Kar..


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
115

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Ye dooriya ab sahi jaati nahi (M,MASOOD)UK

Post by Guest Mon Dec 24, 2012 5:12 am

Is kadar intezaar karna padega aapka,
pata na tha


Is kadar bekarar hona padega,
pata na tha


Is kadar yaad aayegi aapki,
pata na tha


kyon guzarata hai sara din aapki yaad mey
pata hai aapko ?


kyon bekrar ho jaata hun mai bin tumhare
pata hai aapko ?


Kyon yaad aati hai aapki har pal
pata hai aapko ?


Ye dooriya ab sahi jaati nahi
chale aao, chale aao
chale aao, chale aao



M.MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
116

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty ik arzoo c hai os ko bhool jane ki (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 9:32 pm

zamanay se suna tha k muhabbat har jati hai.
jo chahat ik tarfa ho wo chahat har jati hai.


kahin par dua ka ik lafz bhi asar kar jata hai.
kahin barsoon ki ibadat haar jati hai.


muhabbat kab kisi ko dushmani ka dars daiti hai.
muhabbat ki bazi mai adawat har jati hai.


hamay kitnay bhi shikway houn oski jafaoun par.
par os k samnay har ik shikayat har jati hai.


ik arzoo c hai os ko bhool jane ki.
par oski yaad atay he ye hasrat haar jati hai.



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
117

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 9:40 pm

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay.
Andaaz badal lena,awaaz badal lena.


Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena.
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena.


Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena.
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay.


Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena.
Awaaz agar do to katra k nikal jana MASOOD


Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna .
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena.


Aadat hi bana li es sheher k logon ney


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
118


Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Ab to aa jao Main kitna intezar karoon (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 9:49 pm

Main kitna intezar karoon
Main kis se piyar karoon


Jab se tum ne milna chor diya he
Khushbu ne bikharna chor diya he


Phoolon ne mehakna chor diya he
Chiryun ne chehakna chor diya he


Chan ne chamakna chor diya he
Aur dil ne b darakna chor diya he


Savan jane ko he
Bahar aane ko he


Phool khilne ko hain
Sab dost milne ko hain


Ab to aa jao


Main kitna intezar karoon
Main kis se piyar karoon

BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
119

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Dil Basaya Tha Uski Yaad Ne Aur Usne Hi Ujara Hai (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 9:53 pm

Aankhom Me Jagha Di Hai Dil Me Basaya Hai
Par Usne Dil Me Reh Kar Mere Dil Ko Jalaya Hai


Mai Is Khayaal Say Laya Tha Qareeb Usko
Chup Chaap Say Wo Mere Dil Me Utar Aaya Hai


Kia Khaber Thi Ke Zalim Ne Tarphana Hai Mujh Ko
Aur Alfaaz Ka Nishtar Bhi Chubaya Hai


Dil To Bhuj Chuka Hai Shama Ki Tarha Par UsKo
Khayaal Aaya Hi Nahi Ke Dil Usne Bhujaya Hai


Shikwa Karein Gay Na Hum Ujaar`Ney Ka Dil Ko
Dil Basaya Tha Uski Yaad Ne Aur Usne Hi Ujara Hai



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
120

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Aaj MASOOD jasy diwane dhundhte hain (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 9:59 pm

Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain


Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain


Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj MASOOD jasy diwane dhundhte hain


Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain


Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain


nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
121

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Mujse Wo Doori Barhana Chahata Tha (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 10:04 pm

Lakh Chaha Magar Wo Muje Bhula Na Saka
Mere Khayal Wo Dil Se Kabhi Mita Na Saka,


Mujse Wo door Bohat door ho Gaya Tha Magar
Apni Ankhon Se Mere Chehray ko Hata Na Saka,


Mujse Wo Doori Barhana Chahata Tha
Per Kabhi Wo Mujse Door Ja Na Saka,


Kitnay Shikway hein Os Key Dil May Mere Liay
Chah Kar Be Kabhi Wo Mujhe Bata Na Saka,


Anjaan Rakhna Chahata Tha Mujhe Apni Chahat Se
Hale-e-Dil Mujse Per Chupaa Na Saka



BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
122

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty tery ilawa koi nahi hy (M,MASOOD)UK

Post by Guest Thu Dec 27, 2012 10:23 pm

Adhi raat k sannatey mai
kis ne phone kia hy mujh ko


phone utha k youn lagta hy
us janib koi gumsum gumsum ukhra ukhra


dheerey dheery kanp raha hy
mehki hui si ik khamoshi hy

ghup khamoshi lekin us khamoshi mai bhi
goonj rahy hyn thandi sansen barish ansoo..


khamoshi se thak kr us ne sans lia to choori khanki...
uff ye khaan khaan sarey badan mai phail gyi hy


tery ilawa koi nahi hy
lekin itney barson baad


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
123

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Wo PHOLON ki khushbu ho to EHSAS Sirf mera ho (M,MASOOD)UK

Post by Guest Fri Dec 28, 2012 12:12 am

Koi to ho eisa
jo sirf mera ho


BATON mein uski KHUSHBU ho
DIL mein uska BSERA ho


CHAHE to CHAHAT meri
Mange to MOHABT meri


Wo CHAND ki chandni ho to
CHAND sirf mera ho!


Wo DIN ki roshni ho to
MASOOD sirf mera ho


Wo PHOLON ki khushbu ho to EHSAS Sirf mera ho
Wo rat ka ujala ho to


Charagh sirf mera ho
Wo ishq or mohabt ho to


MASOOD sirf mera ho
Wo PANI ka CHENTA ho to


DARYA Sirf mera ho





BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
124

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM - Page 5 Empty Re: MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 5 of 10 Previous  1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum