Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Page 1 of 10 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Post by Guest Mon Nov 26, 2012 4:15 am

HER DARRD PEHN LENA HER KHWAAB MAIN KHO JANA



ﮨﺮ ﺩﺭﺩ ﭘﮩﻦ ﻟﯿﻨﺎ ، ﮨﺮ ﺧﻮﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﮐﮭﻮ ﺟﺎﻧﺎ
ﮐﯿﺎ ﺍﭘﻨﯽ ﻃﺒﯿﻌﺖ ﮨﮯ ، ﮨﺮ ﺷﺨﺺ ﮐﺎ ﮨﻮ ﺟﺎﻧﺎ

ﺍﮎ ﺷﮩﺮ ﺑﺴﺎ ﻟﯿﻨﺎ ﺑﭽﮭﮍﮮ ﮨﻮﺋﮯ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﺎ
ﭘﮭﺮ ﺷﺐ ﮐﮯ ﺟﺰﯾﺮﮮ ﻣﯿﮟ ﺩﻝ ﺗﮭﺎﻡ ﮐﮯ ﺳﻮ ﺟﺎﻧﺎ

ﻣﻮﺿﻮﻉِ ﺳﺨﻦ ﮐﭽﮫ ﮨﻮ ، ﺗﺎ ﺩﯾﺮ ﺍﺳﮯ ﺗﮑﻨﺎ
ﮨﺮ ﻟﻔﻆ ﭘﮧ ﺭﮎ ﺟﺎﻧﺎ ، ﮨﺮ ﺑﺎﺕ ﭘﮧ ﮐﮭﻮ ﺟﺎﻧﺎ

ﺁﻧﺎ ﺗﻮ ﺑﮑﮭﺮ ﺟﺎﻧﺎ ﺳﺎﻧﺴﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻣﮩﮏ ﺑﻦ ﮐﺮ
ﺟﺎﻧﺎ ﺗﻮ ﮐﻠﯿﺠﮯ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﻧﭩﮯ ﺳﮯ ﭼﺒﮭﻮ ﺟﺎﻧﺎ

ﺟﺎﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﭼﭗ ﺭﮨﻨﺎ ﺍﻥ ﺑﻮﻟﺘﯽ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﺎ
ﺧﺎﻣﻮﺵ ﺗﮑﻠﻢ ﺳﮯ ﭘﻠﮑﻮﮞ ﮐﻮ ﺑﮭﮕﻮ ﺟﺎﻧﺎ


ﻟﻔﻈﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺍﺗﺮ ﺁﻧﺎ ﺍﻥ ﭘﮭﻮﻝ ﺳﮯ ﮨﻮﻧﭩﻮﮞ ﮐﺎ
ﺍﮎ ﻟﻤﺲ ﮐﯽ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﮐﺎ ﭘﻮﺭﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺳﻤﻮ ﺟﺎﻧﺎ

ﮨﺮ ﺷﺎﻡ ﻋﺰﺍﺋﻢ ﮐﮯ ﮐﭽﮫ ﻣﺤﻞ ﺑﻨﺎ ﻟﯿﻨﺎ
ﮨﺮ ﺻﺒﺢ ﺍﺭﺍﺩﻭﮞ ﮐﯽ ﺩﮨﻠﯿﺰ ﭘﮧ ﺳﻮ ﺟﺎﻧﺎ


MOHAMMED MASOOD
NOTTINGHAM


Last edited by mohammed masood on Wed Aug 21, 2013 4:03 am; edited 11 times in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Main Nadaan Likhta Raha (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 3:42 am


Usy Bana Kr Ghazal Mein
Subh-o-Sham Likhta Raha

Haqeeqat Ki Her Gari Mein
Usy SALAM Likhta Raha

Wo Meri MUHABAT Ko Mera
Junoon Samj Betha

Main NAAM-e-MUHABAT Ko
Bar BAr Likhta Raha

Kar Lo IQRAR-e-DIL Lagi
Muj Se Yay Kaha, Us Se
Main Ny

Ajab Shakhs Tha Muje He
BEWAFA Likhta Raha

Uski ARZU Yay Thi K
BHUL JAO MUJE”

Main Her DIWAAR par
ISHQ Ki Intaha Likhta Raha

ZULM Sehan Hi Tu ISHQ Ki
MIRAAJ Hy
Wo Badnaam Krta Raha Main
NADAAN Likhta Raha.


by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk 2@


Last edited by mohammed masood on Thu Dec 20, 2012 3:58 am; edited 2 times in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Likhay thay kitnay he afsanay (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 3:46 am

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay




By
Mohammed Masood
Meadows
Nottingham
Uk
3 @


Last edited by mohammed masood on Wed Dec 19, 2012 4:28 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Kaho Woh ChanD Kaisa Tha (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 3:48 am

Kaho Woh Dusht Kaisa Tha??
Jidher Sub Kuch Lutaa Aey
Jidher Aankhain Ganwaa Aey
Kaha, SelaaB Jaisa Tha,
Buhat Chaha k Buch Niklain Mager Sub Kuch Baha Aey


Kaho, Woh Hijr Kaisa Tha??
Kabhi Choo Ker Issay DaikhA
Tou Tum Nay Kiya Bhalaa Paya
Kaha, Bus AaG Jaisa Tha,
Ussay Choo Ker Tou Apni Rooh Ye Tann Mann Jala AeY


Kaho , Woh Wasal Kaisa Tha??
Tumhay Jub Choo Liya Is Nay
Tou Kiya Ahsaas Jaga ThA?
Kaha, Ik Rastay Jaisa
Jidher Say Bus Guzarna Tha,Makaa’n Lakin Bana Aey


Kaho, Woh Chand KaisA Tha??
Falak Say Jo Uter AAya!
Tumhari Aankh May Basnay
Kaha, Woh Khwab Jaisa Tha
Nahi Tabeer Thi Jis Ki, Ussay Ik Shub Sula AeY


Kaho Woh IshQ Kaisa Tha??
Bina Sochy Bina Samjhy
Bina Purkhay Kiya Tum Nay
Kaha, Titli K Rung Jaisa
Buhat Kacha Anokha Sa, Jabhi Usko Bhula Aey


Kaho Woh Naam Kaisa Tha??
Jissay SahraOon Aur Chanchal
Hawaon Per Likha Tum Nay
kaha, Bus MusamOon Jaisa,
Na Janay Kis Trha Kis Pal Kisi Row Main Mita Aey




by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
4@


Last edited by mohammed masood on Sat Dec 22, 2012 2:34 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Likhay thay kitnay he afsanay (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 3:50 am

Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay




By
Mohammed Masood
Meadows
Nottingham
Uk
5@


Last edited by mohammed masood on Wed Dec 19, 2012 4:33 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Dur Jaane Wali Shayari (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 3:53 am

Ek din hum unse bohut door chale jayenge

Satayengi humari yaadein har taraf unhe
Or wo pareshan ho jayenge…

Charon taraf dekhenge par hum na noazar aayenge
Jab satayengi hamari yaadein…

Wo humse milne ko betab ho jayenge
Par hum kaha unhe mil payenge..

Yaad ayengi unko humari wafaein
Unki aankhon me aansu aa jayenge

Dhoondenge wo ek pyar bhare ehsaas ko
Samundar rahe bhale hi wo pyase reh jayenge

Ek din hum unse bohut door chale jayenge.



By
Mohammed Masood
Meadows
Nottingham
Uk
6@


Last edited by mohammed masood on Mon Dec 24, 2012 4:28 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKo (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 3:57 am

Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKO,

Aaj Roya Galey Laga K MujKO,

Usny Pehla Sawal Ye Pocha,

Tum Ko Kaisa Laga Ganwa K Mujko?

Zindagi Ne To Azmaaya Hai,

Dekh Lo Tum B Aazma K Mujhko,

Usny Rasta Badal Liya Apna,

Pyar Ki Raah Par Chala K Mujhko,

Dey Gaya Umar Bhar K Aanso,

Jo Kbhi Hansta tha, Hansa K Mujko,

Ajeeb Shakhs Tha, Jatey Howey Wo,

Khud Bhi Roya Bohat Rula K Mujko,

Mujh Ko Pathar Bana K Kehta Hai,

“MASOOD” Dekho Na Muskura K Mujhko


by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
7@


Last edited by mohammed masood on Wed Dec 26, 2012 2:12 am; edited 2 times in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Ab kis se kahen or kon sune (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:00 am

Ab kis se kahen or kon sune

jo haal tumhare baad huwa

Is dil ki jheel si aankhon

mein ik khuwab bohot barbad huwa

Ye hijar hawa bhi dushman hay

us naam ke saare rangon ki

Wo naam jo mere honton per

khushbu ki tarah aabad huwa

Us sheher ke kitne chehre thay

kuch yaad nahi sab bhool gaye

Ik shakhs kitabon jesa tha

wo shakhs zabani yaad huwa

Wo sab jhoote qasmein wadey thay

dil jin mein khush ho jata tha

Ab is se farq nahi parta na-shaad

huwa ya shaad huwa

Be-naam staish rehti thi in

gehri sanwli aankhon mein

Aisa to kabhi socha bhi na tha

dil ab jitna be-daad huwa



by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
8@


Last edited by mohammed masood on Thu Dec 27, 2012 4:01 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Yun Zindagi Ki Raah (M.Masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:02 am

Yun zindagi ki raah main takra gaya koi
ik roshni andhero mein bikhra gaya koi

woh haadsa, woh pehli mulaakat kyaa kahoon
itni ajab thi soorat haalat kya kahoon

wo kehar wo gazab wo jafa mujko yaad hai
wo uski berukhi ki adaa mujhko yaad hai

mittha nahin hai zehan pe yun chaa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi

Pehle mujhe wo dekhke barham si ho gayee
fir apne hi haseen khayalo main kho gayee

bechargi pe meri usse reham aa gaya
shaayad mere tadapne ka andaaz bhaa gaya

saanso se bhi kareeb mere aa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi

yoon usne pyaar se meri baaho ko chu liya
manzil ne jaise shaakh ke raahon ko chu liya

ik pal main dil pe kaise qayamt guzar gayi
rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi

zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi

ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye
benaam aarzoo ki lazzat na poochiye

ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya
ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya

manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi
yun zindagi ki raah main takra gaya koi


BY
MOHAMMED MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
9@


Last edited by mohammed masood on Thu Dec 27, 2012 9:25 pm; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Main Nadaan Likhta Raha (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:04 am

Usy Bana Kr Ghazal Mein
Subh-o-Sham Likhta Raha

Haqeeqat Ki Her Gari Mein
Usy SALAM Likhta Raha

Wo Meri MUHABAT Ko Mera
Junoon Samj Betha

Main NAAM-e-MUHABAT Ko
Bar BAr Likhta Raha

Kar Lo IQRAR-e-DIL Lagi
Muj Se Yay Kaha, Us Se
Main Ny

Ajab Shakhs Tha Muje He
BEWAFA Likhta Raha

Uski ARZU Yay Thi K
BHUL JAO MUJE”

Main Her DIWAAR par
ISHQ Ki Intaha Likhta Raha

ZULM Sehan Hi Tu ISHQ Ki
MIRAAJ Hy
Wo Badnaam Krta Raha Main
NADAAN Likhta Raha.


by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
10@


Last edited by mohammed masood on Sun Dec 30, 2012 6:29 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Kabhi waqt mile to aajao (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:05 am

Kabhi waqt mile to aajao,
Ham jheel kinare ja baithen karain

Tum apne sukh ki baat karo
Hum apne dukh ki baat karain

Aur un lamhoon ki baat karain
Jo sung tumhare beet gaye

Aur ehd-e-khizan ki nazar howy
In sabz ruton k daman mai

Hum pyar ki khushbo mehkain
In bikhray sabz nazaron ko

Ham aankhon men tasveeer karain
Phir apne pyar k jado se

Hum lamhoon ko jageer karain
Kabhi waqt milaye to aajao

Hum jheel kinare ja baithen karain




by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
11@


Last edited by mohammed masood on Sun Dec 30, 2012 6:39 am; edited 2 times in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta(m.masood)uk,

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:07 am

Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Bhanwar ghabra k khud mujh ko kinaray pr lga deta

Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga

Sitaray, chand, Sara Aasman Raah ma bicha deta

Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka

Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita

Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar

Tmharay shehar ki janib hawaon ma Urra deta



by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk
12


Last edited by mohammed masood on Tue Jan 01, 2013 7:36 am; edited 2 times in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Ae Maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye (M.MASOOD)UK,

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:13 am

Ae Maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki Zahar khaaye zamaane guzar gaye,

O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye,

Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,

Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye,

Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

Kya kya Tavaqqoat thi aahonn se ai khumaar
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye


BY
MOHAMMED.MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
13


Last edited by mohammed masood on Sat Jan 05, 2013 4:17 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty karooN maiN eid kis trah (m.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:15 am

Bahhot hai eid ki khushi

Magar jaley nahiN they chulhey jahaaN

Bilak rahey they nau-nehaal khuley badan, khuley gagan

ye dekh kar

karooN maiN eid kis tarah?

MaiN kya karooN

Thaher gaee udhar ko bhi nazar meri

haiN ek taraf asaaisheiN

haiN ek taraf ghareeb sub

ye muflisi hai ab talak na janey kyuN

zakaat farz hai magar

hai sood bhi haraam phir

na khatm ho saki ye muflisi haqeer ab talak

ye soch kar

karooN maiN eid kis trah?





......
BY
MOHAMMED.MASOOD
MEADOWS
NOTTINGHAM
UK
14

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Bharre Sawal Jawab by m.masood uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:18 am

( Bharre Sawal Jawab)
Wo Kehta Hay
“Batao Be sabab Kyu Rooth Jati Ho..?”
May Kehti Hoon
“Zara Mujh Ko Manao
Acha Lagta Hay…”
Wo Kehta Hay
“Mera Dil Tum Say Aakhir Kio Nahi Bharta..?”
May Kehti Hoon
“Muhabat Ki Koi Had Hi Nahi Hoti…”
Wo Kehta Hay
“Batao May Tumhain Kio Bhaa Gaya Itna..?”
May Kehti Hoon
“Meri Jan Hadsay Tu Ho Hee Jatay Hain…”
Wo Kehta Hay
“Achanak May Tumhain Yun Hee Rulaa Doon Tu..?”
May Kehti Hoon
“Mujhay Dar Hay K Tum Bhi Bheeg Jao Gay” ..!!!

....m.masood....
Meadows nottingham
..........uk......
15

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Mujhe Tum Azmanay Se Zara Pehle Bata Dena(M.MASOOD)UK

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:20 am

Bharosa Toot Janay Se Zara Pehle Bata Dena,
Mujhe Tum Azmanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Kissi Helay Bahanay Se Zara Pehle Bata Dena,
K Mujhko Tum Bholanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Zameen Ki Rait Pe Tumne Jo Muhabbat Likhi Thi,
Woh Tehreerein Mitanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Lon Zabt Ka Pathar,
Suno Daman Churanay Se Zara Pehle Bata Dena,

Kissi BHi Mor Pe MOHSIN Bura Pao Agar Mujhko,
Zamanay KO Batanay Se Zara Pehle Bata Dena



BY
M.MASOOD
UK
16

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Meri Ghazal ka Unwan (M.MASOOD)uk,

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:23 am

Meri Ghazal ka Unwan pochte Hain Log

Dil Me kon Rehta hy Naam pochte Hain Log

Chor kr chala Gya Mujhko akela shehr me

Kitne Me bik gya daam pochte Hain Log

Ma sangdil Tha ya wo harjai

Ek yehi bat sar-e-Am pochte hain Log

Kal kya ho ga muje khud khaber nhi

Meri mohabat ka anjam pochte Hain Log.

.......
by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk 17


Last edited by mohammed masood on Sat Jan 05, 2013 4:20 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Tum aao to hum bhi EID karen (MOHAMMED.MASOOD)UK

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:24 am

Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen

Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen

Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen

Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai

Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen

Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain

Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain

Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen
...........
by
mohammed masood
meadows
nottingham
uk 18

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty acha hota ke bhula deta koi (MOHAMMED MASOOD)UK,

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:26 am

Dua nahi to gila deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jab mukadar hi nahi tha apna
deta bhi to bahla kya deta koi

hasil-e-ishq faqat dard hai
aye kash pehle hi baat deta koi

taqdeer nahi thi agar aasmaan chuna
khaq me hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se zyada kya daga deta koi

guman hi ho jata kisi apne ka
daman hi pakar kar hila deta koi

arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
acha hota ke bhula deta koi

mohammed uk
19


Last edited by mohammed masood on Tue Jan 08, 2013 3:25 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Mushkil tha tanhaa rehna BY MOHAMMED MASOOD UK,

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:31 am

Ab jo tum aa gayee ho,
Toa Raahat mili hai dil ko,

Ab mujhko sunlo aye jaanam,
Tanhaa aise kabhee na chodna,

Mushkil tha tanhaa rehna,
Mumkin tha tere bin marjaana.

Zindagi gamon ki laher bhi hai,
Zindagi dilon ke kareeb hi to hai,

Zindadi tumhare saath ek mahak si hi to hai,
Jo phelkar tumhe pukarte hai,

Aur tum chale aate ho,
Yeh dosti pyar ka izhar hi to hai!

MOHAMMED MASOODUK
20


Last edited by mohammed masood on Tue Jan 08, 2013 3:27 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Apne Dil Ko Jo Sheeshe Ka Kehte Hai (MOHAMMED.MASOOD)UK,

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:33 am

iKatal Ker Ke Sare-Aam Ye Anjaan Bante Hai,
Husn Ke Ada Ye Dikha Ke Nadaan Bante H

Wafao Ki Baate Jo Hamesha Karte Hai,
Wahi Dil Tod Ke Mehfil Mai Muskurate Hai,

Apne Dil Ko Jo Sheeshe Ka Kehte Hai,
Patthar MARNE Wale Bhi Wahi Hote Hai,

Bewafa Ka Naam Jo Hume De Jaate Hai,
Pehle Kyo Gerebaan Mai Apne Dekhte Nahi Hai,

Khamosh Un Ki Dunia Kabhi Hoti Nahi Hai,
Phoolon Se Gulistan Wo Apna Sajate Hai,

Khel Un Ka Samaj Nahi Aata Hai,
Phoolon Ka Tohfa Deker, Kaanto Ka Taaj Pehnana Chahte Ha




by mohammed masood meadows nottingham uk
21


Last edited by mohammed masood on Wed Jan 09, 2013 12:57 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty (شعرئ بائ محمد مسعود ( ہمسفر تھا مگر

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:35 am


وہ ہمسفر تھا مگر اُس سے ہمنوائی نہ تھی

کہ دھوپ چھاؤں کا عالم رہا، جدائی نہ تھی



عداوتیں تھیں، تغافل تھا، رنجشیں تھیں مگر

بچھڑنے والے میں سب کچھ تھا، بےوفائی نہ تھی



بچھڑتے وقت، اُن آنکھوں میں تھی ہماری غزل

غزل بھی وہ، جو کسی کو ابھی سنائی نہ تھی



کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت

کبھی یہ معاملہ، جیسے کہ آشنائی نہ تھی



کسے پکار رہا تھا وە ڈوبتا ہوا دن

صدا تو آئی تھی، لیکن کوئی دہائی نہ تھی




عجیب ہوتی ہے راہ سخن بھی دیکھ مسعود

وہاں بھی آ گئے آخر، جہاں رسائی نہ تھی





( شعرئ بائ محمد مسعود يوکے )
22


Last edited by mohammed masood on Tue Feb 26, 2013 2:38 am; edited 1 time in total

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Ye jo zeest ka safar hai (MOHAMMED.MASOOD)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:39 am

Ye jo zeest ka safar hai
ye jo raasta hai mera
tum agar na sath do gay tou
ye kis tarhan katey ga..?

meri soch ki hadon tak
ye guumaan bhi kaise aaye
koi pal bina tumharey
bhala kaise beet jaye

mere paas tum nahi ho
mere paas kuch nahi hai
meri yaad k nagar mein
mere khuwab k safar mein

meri souch ki tehon mein
BUS aarzoo TUMHARI....
is aarzoo se agay koi raasta nahi hai
tumhe kis qadar hai chaha..
tumhe ye pata nahi hai..


MOHAMMED.MASOOD
23

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Tum dekh kar khoon k Ansoo ro gi (mohammed.masood)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:41 am

Wo raat Dard aur sitam ki raat hogi,
Jis raat ruksat un ki Baraat hogi.

Uth jatay hain ye soch kar neend se k,
Kisi ghair ki baahon me Meri jan hogi.

Hosh nahi tha mujhe Us ki shaadi ki raat.
Main ne kabhi ye na Socha tha k meri zindagi Nelaam hogi.

Meri jan ab zinda hon Teri khatir.
Kal shehar me tere kafan Me lipti meri lash hogi.

Tum dekh kar khoon k Ansoo ro gi.
Youn khoon se bhari Meri lash hogi.

Qayamat hi qayamt hogi Tere shehar me,
K har gali har ghar me Likhi meri dukh bhari Daastaan hogi



by mohammed masood meadows nottingham uk
24

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Shaan se rahenge tumahre dil mein hum (M.MASOOD)uk

Post by Guest Tue Dec 18, 2012 4:42 am

Kahin Andher to Kahin Sham hogi,
Meri Har Khushi tere Naam hogi,

Kuch Maang k to dekh a mere Dost,
Hontoon pay Hansi aur Hatheli pe Jaan Hogi

Kaun kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi,
Yeh afwaah zaroor kissi dushman ne uraayi hogi,

Shaan se rahenge tumahre dil mein hum,
Itne dino mein kuch toh jagah banayi hogi.

Kaun hai apna aur kaun paraya in sab mein kyon uljhe,
Khud hi khud ki phikr kar pehle khud ko toh apna samjhe.

Khud se khud ki zindagi na sudhri toh dusron ko de laat
Aaja aaj hi thaan le yeh ki karna hai kismat se do do haath.

Dukh ki raat no hogi kahin, aisi sabera na zindagi mein hogi
Khud hi khud mein viswas bhar de phir kabhi na haar hogi.

.......
by
MOHAMMED.MASOOD
meadows
nottingham
uk
25

Guest
Guest


Back to top Go down

MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM Empty Re: MOHAMMED MASOOD NOTTINGHAM

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 1 of 10 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 10  Next

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum