Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Pls ek baar aakhir tak zaroor perhiey ga

2 posters

Go down

Pls ek baar aakhir tak zaroor perhiey ga Empty Pls ek baar aakhir tak zaroor perhiey ga

Post by nasirnoman Sat Nov 08, 2008 3:04 pm

Assalam-o-Alikum doston,

hum apki forum main new hain or pehli post apkey samney hazir hai,
ye hai to ek nazuk mozoo mager bohat eham mozoo hai barah-e-karam ap log sirif ek dafa is post ka aakhir tak zaror perhiey ga.

Nasir Noman


Ye to aap bhi jantey hain key Hazrat Adam Alhey Assalam sey jo silsila bani Adam ka shoro hua To us waqat to koi mazhab na tha phir aaj itney sarey mazahib jo baney wo kesey baney ?

Koi to waja hogi mazahib ki bunyad perney ki,kio key sab humarey hi jesey log they jo humari tarha khatey they peetey they or sochtey they or Allah ko bhi mantey they, koi na koi to waja hogi?
kabhi ap ney socha key kia waja thi logon key gumrahi ki ?

Buut paraston key Mazhab key liyain kahtey hain key ek basti main Allah key ek Naik Bandey rehty they,jab un ki wafaat hoi to basti waley bohat udas hogaey key ye Buzrug ab humarey darmian nahi rahain gey,to Shaitan(devil)basti walon key pass aaya or kaha key tum kion udas hotey ho main ek tareeqa batata hon jis sey tumarey Buzrug humesha tumhari nazaron key samney rahey gey,phir shaitan ney unhain Buut banana seekhaya or Buut ki shakal un buzrug sey milti julti kerdi,basti walon key liyain ek anokhi bat thi or un ka ghum halka hogaya unhon ney wo buut basti main ek jaga laga dia or phir aatey jatey us buut ko ehtaram sey dekhtey they,un key bachon ney dekha key humarey buzrug kesey is buut ka ehtaram kerty hain phir wo jab barey hoey to unhon ney us buut ka ziada ehtaram kia(Kio key un key baron ney aney bachon ko is ehtaram ki tafseel nahi samjhai)bas un key bachey ziada ehtaram kerty gaey or do teen nasalain guzar gain or kisi ney wazahat nahi ki buut key ehtaram ki her nasal apni pichli nasal sey ziada mohabbat kerti gai ot ek waqat aaya key wo log Allah ko bhool ker sab kuch us buut ko man chukey they.
(Tafseel lambi hai mager kam-o-besh issi tarha hi hai )

Christen Mazhab ki bunyad bhi isi tarha milti julti hai waqat key sath Hazrat Essa (Alehey Assalam) key manney walon ney apni aaney wali naslon ko Hazrat Essa(Alehey Assalam)key ehkamaat ki sahi sey wazahat nahi ki,waqat guzurta raha new generation aati gai or bible (Anjeel)main tabdeelian aati gai ek waqat aaya key log Hazrat Essa(Alehey Assalam)ki taleemat bhooltey gaey or apney rastey khud sey banatey gaey or Mushrik hogaey,
Christen kia Hindu kia koi bhi kabhi bhi apney ap ko na kal ghalat samjhtey they or na aaj ghalat samjhtey hain,sab ye hi kehtey hain hum hi theek hain,mager Allah Taala ney Hazoor(Sallah-o-Alihey Wasallam)key zariey Quraan pak mian sari insaniat ko sahi or ghalat rastey ka batadia uskey bawajood jis ney nahi manna tha wo na kal mana or na aaj mana or na kabhi maney ga.

Bohat dehan sey sohiey ga key shaitan ka tareeqa-e-wardat kia hai wo kabhi bhi aaker ye nahi kahta key buuton ko Khuda mano ya Hazrat Essa(Alehey Assalam) ko Allah ka Beta mano(Maaz Allah)wo sirif itna kerta hai key muqaddas logon key ehtaram main izafa kerwata hai or phir tamasha dekhta hai,ek nasal jati hai dosri nasal aajati hai wo is ehtaram main izafa ker deti hai or kisi ko pata bhi nahi chalta key hum apney sirat-e-mustaqeem sey hat’tey ja rahey hain.kio key ager koi mana kerta hai key muqdas logon ki had sey ziada taazeem na karo to awwal to koi suntan hi nahi balkey wo us key dushman ban jatey hain key ye humarey muqadas logon ki shan mian gustakhi ker rhey hain ya ye log muqadas logon ko nahi mantey?

Aap yaqinan samjh rahey hongey jo hum samjhana chah rahey hain.

Is ki beshumar missal hain ab jesey aksar log kehtey hain key “hum Allah key Hazoor Buzurgan-e-Deen ka waseela pesh kertey hain or Burugana-e-Deen sey nahi mangttey hain”

Mager Aziz doston hum apko batatey hain key ek waqat main sab ye hi kehtey they mager aaj ap “Ya Rasool Allah Madad” “Ya Ghos Pak Madad”key alfaz apney aas pas sun saktey hain,(sirif ye baat zehan main rakhiey ga aagey maqsad batain gey)

1985 main bhi Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)manaya jata tha mager ap aaj logon ka “Main so jaon ya Mustafa kehtey kehtey –khuley aankh Salley Alla kahtey kehty”ki awaz per or new jazbey or walwaley key sath Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)ka jashan manatey aaj is nasal ko dekh saktey hain.

ye mohabbat aaj sey 20 saal pehley kion nahi thi?

aaj Nabi-e-Pak(Sallah-o-Alihey Wassalam)key aashiq pichley zamano sey ziada hain?ager waqai ye Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sachey Ashiq hotey to aaj ka Musalman itna pershan nahi hota.

Kia ye nasalon ki zehan ki tabdeeli to nahi ?dehan sey sochain

Bachon key zehan ek sadey kaghaz ki tarha hotey hain jo bachpan ka perha hua sabaq kabhi nahi bhooltey or wo hi in bachon ki shakhsiat ki bunyad hoti hai phir aagey chal key us bunyad per hi un ki zindagi ki emaarat khhari hoti hai or bachan ki seekhi hoi batain zindagi ka hissa ban jati hain jo kabhi nahi badalti,

1985 main jin bachon ki age 10 saal thi or unhon ney jis sadgi sey Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam)key jalsey jaloos dekhey or aaj apni 30 saal ki age main jo unhon ney Eid Milad un Nabi(Sallah-o-alihey Wassalam) ki taraqqian ki (Kio key un bachon key masoom zehan ney apney baron ki jo aqeedat dekhi or jo kuch seekha wo agey chal ker yaha tak ponchi jo ap log aaj kal apney aas paas dekh saktey hain)

to ye shochain key jin bachon ki age aaj 10 saal hai or wo aaj jo Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key sath apney baraon ki jo aqeedat aaj dekh rahy hain to issi taraqqi ki rafter sey ye bachhey aaney waley 20 saal bad kitni taraqqi ki manazil per pohanch chukey hongey?

or phir wo sab kuchh dekh ker un bachon ki aaney wali nasal wo sab dekh key kia hasil kerey gi or ye hi silsila esey hi chalta raha to aaney waley naslain kia seekhian gi ?

Issi tarha jo ooper hum ney likh tha ‘Ya Rasool Alllah Madad” or “Ya Ghos Pak Madad” key lafaz ye chhotey masoom bachey jo suntey hain in bachon ko to nahi pata key Ulama-e-Kiram in jumloon ki kia wazahat pesh kertey hain?
Bachhon key zehnoo main ye jumley sun ker kia baat beth sakti hai ager ye ap log apney thundey dil-o-dimagh sey sochain gey to umeed hain ap samjh jain gey jo hum samjhana chah rahy hain.
Bachon ko wazahat or aqaid ki hadood batana bohat zaroori hai jessa hum ney pichhli qomoo ka zikar kia hai key unhon ney apni naslon ko apney Muqaddas logon key ehtaram ki wazahat nahi ki.

Aap ye sab baton ko ye mat sochiey ga key ye khayalon ki batain hain,ap ek seedhi deewar banana chahain to yaqinan her step per aap us deewar ki seedhey rehney key liayin dehan dain gey mager aap jab bohat maamooli faraq key sath ek step main faraq ker detey hain to yaqinan us waqat to wo maamooli faraq mehsoos nahi hoga mager yaad rakhiey wo maamooli faraq bhi 10 ya 20 step key bad us deewar ko teraha honey ka faraq pata chalna shoro hojaey ga.or wo hi maamooli maamooli faraq issi tarha ager kertey gaey to yaqinan ek waqat sirat-e-mustaqeem badal jaey ga.

Umeed hai tamam log humari batain samjh gaey hongey.

Hum ye nahi kehtey key khudana khuasta koi aaj shirk ker raha hai.

Aaj to ap logon key pas aqeedat key bohat sey jawaz hain,
Mager shayad apki naslon key pas is sey ziada koi jawaz na ho key humarey baap dada ye hi kertey aaaey hain,(Jessa key deegar mazahib waley jawaz pesh kertey hain)

maqsad kisi firqey per tanqeed nahi hai or na hi koi bhai in bataon ko ikhtalafi batain sochey, is main sachai dhhoondey, tareekh ap key samney khuli kitab ki tarha hai.Hum to ap ko taareekh key wo pages dekhana chahtey hain key kis tarha mukhtalif qoomain gumrah hoi ?

Apka kisi bhi firqey key Imam ko follow krain mager shaitan key is hathyar ko na bhooliey .

or ye sochain key wo konsi wajoohat thi jin sey mukhtalif mazahib wajood mian aaey?Kio key wo bhi humari tarha hi Insan they,or kahin na kahin sey to gumrahi ki bunyadain qaaim hoi hongi?

Yad rakkhiey Shaitan ney aqayamat tak insaniat ko gumrah kerney ka eyhed kia hua hai, shaitan pichhli qomoo ko gumrah kerney key baad khamosh hoker nahi betha hua hai.

hum apni Naslon ko wo taleem dain jo humarey Nabi-e-Pak(Sallah-o-Alihey Wassalam)ney dain hain,or kam sey kam hum un baton ka khayal rakhian key sahi maayno main Nabi-e-Pak (Sallah-o-Alihey Wassalam) or Buzurgan-e-Deen ki mohabbat or ehtaram utna hi karain jitna Allah ka Hukum hai.or apni naslon ko wazahat sey seekhain.

Allah Taala humain Amal ki tufeeq ata farmaey or humain sahi maayno mian Hazoor(Sallah-o-alihey Wassalam) key Ehkamat ko samjhney main humari madad farmaey.Ameen

Or A Allah ager hum sey likhney mian or samjhney mian koi Khata hoi ho to humain maaf farmaey. Ameen

Ek aakhiri derkhuasat key sath Ijazat key apney zehan sey bilkul firqey ka naqab utar ker bohat dehan sey sochiey ga or apney zameer ko gawah bana ker aaj nahi ek week baad ya ek month baad ya ek saal baad ap humari batain zaroor sochiey ga.

Hosakta hai apko humari baton main kabhi na kabhi kuchh sachai nazar aajey
Or humara maqsad is topic per behas kerna nahi plssssssss jawabat nahi dijiey ga sirif sochiey ga,

Duaon ka talabgar

Nasir Noman

nasirnoman
New Member
New Member

Number of posts : 3
Registration date : 2008-11-08

Back to top Go down

Pls ek baar aakhir tak zaroor perhiey ga Empty Re: Pls ek baar aakhir tak zaroor perhiey ga

Post by uswah Thu Jul 07, 2011 7:55 am

nice article has been shared in your post
keep sharing

uswah
New Member
New Member

Number of posts : 30
Registration date : 2011-07-06

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum