Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Hum Ne Saari Umer Nibhayi, Apni Pehli Majboori ....

Go down

Hum Ne Saari Umer Nibhayi, Apni Pehli Majboori .... Empty Hum Ne Saari Umer Nibhayi, Apni Pehli Majboori ....

Post by aloNe iN DaRk Fri Sep 05, 2008 6:55 pm


Chahat Mein Kiya Duniya Daari Ishq Mein Kaisi Majboori
Logon Ka Kya, Samjhaney Do Inn Ki Apni Majboori

Meiney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ne Duniya Waalon Ki
Mairi Garz Bhi Majboori Thi Unn Ka Hukam Bhi Majboori

Rok Sakho To Pehli Baarish Ki Boondon Ko Tum Rokho
Kachi Mitti To Mehkey Gii, Hai Mitti Ki Majboori

Jab Tak Hansta Gaata Mosam Apna Hai, Sab Apney Hain
Waqt Parrey To Yaad Aa Jaati Hai Masnoovi Majboori

Aik Aawara Badal Say Kyun Meiney Saaya Maanga Tha
Mairi Bhi Ye Nadani Thi, Uss Ki Bhi Thi Majboori

Mudat Guzri Aik Waadey Par Aaj Bhi Qayam Hai 'Mohsin'
Hum Ne Saari Umer Nibhayi, Apni Pehli Majboori ....!!


Poet :: Mohsin Naqvi
aloNe iN DaRk
aloNe iN DaRk
Administrator

Number of posts : 115
Registration date : 2008-09-01

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum