Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai

2 posters

Go down

Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai Empty Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai

Post by aloNe iN DaRk Fri Sep 05, 2008 6:50 pm


Jaaney Kya Baat Hai Jo Mujh Say Khafa Baitha Hai
Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai

Woh Parinda Jissey Parwaaz Say Fursat Hi Na Thi
Aaj Tanha Hai To Deewaar Par Aa Baitha Hai

Bolta Hoon To Mujhey Izn-e-Khamoshi Dey Ker
Kon Hai Jo Pas-e-Izhaar Chupa Baitha Hai?

Tum Bhi Manjumla-e-Arbab-e-Jafa Nikley Ho
Tum To Kehtey Thay Dar Dil Mein Khuda Baitha Hai

Thak Gaya Dasht-e-Talab Mein To Sawaali Ban Ker
Maira Saata Mairi Dehleez Pay Aa Baitha Hai

Tu Kitaabon Mein Qissey Dhoondta Rehta Hai 'Saleem'
Ye Tu Kiya Rog Mairey Yaar Laga Baitha Hai ….!!


Poet :: Saleem Kosar
aloNe iN DaRk
aloNe iN DaRk
Administrator

Number of posts : 115
Registration date : 2008-09-01

Back to top Go down

Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai Empty Re: Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pay Tula Baitha Hai

Post by sqabmemeanr Thu Oct 15, 2009 10:11 pm

Mere soz dil k jalwe ye makan makan ujaale
Meri Aahh pur asar ne kai Aftaab dhalay

Mujhe gardash-e-falak se nahin Ehtajaaj koi
K Mataa-e-jan-o-dil hai teri Zulf k hawalay

Abhi rang Aasuon main hai teri Aqeedaton ka
Abhi dil main Bas rahe hain teri yaad k Shawalay

Meri Aankh ne suni hai kai Zumzumon ki Aahatt
Nahin Barbaton se kumtar Mae Naab k Piyalay

Ye tajaliyon ki Mehfil hai ussi k zer-e- Sayaa
Ye Jahaan Kaif us ka jise wo Nazar Sambhalay

Ye Hayaat ki Kahaani hai Fana ka Aik SAGAR
Too Labon se Muskara kar isi Jaam Ko laga le

Sqabmemeanr From (KSA)
sqabmemeanr
sqabmemeanr
New Member
New Member

Number of posts : 23
Age : 41
Location : Saudi Arabia (Jeddah)
Registration date : 2009-10-15

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum