Khud Azeeyatti
2 posters
Page 1 of 1
Khud Azeeyatti
Hamary han 70% log khud azeeyatti ka shikar hain,,,kabhi khud sy logo ki apny bary main raey qaim ker ky,,kabhi apni naam nehad Ana(ego) ka sir buland ker ky,,,to kabhi apny ehsasat ko dusron sy chupa ky,,,,,,,,,,,es ky elawa hum ny doosron ki majbooriyo ka ehsas karna chor diya hai,,,hum ye dekhty hain ky hum kisi sy kitny khush hain ye nahi dekhty ky koi hum sy kitna na-khush hai,,,hum apni takleef apny ehsas ki to perwa kerty hain lekin kabhi kisi ki takleef ko mehsoos kerny ya ka kisi ka ehsaas bann-ny ki bat nahi kerty,,,aik lafz sorry ky peachy hum apny purany rishton ko bhi tabah kerny sy guraiz nahi kerty,,,"Bhala may hi kyun sorry kahun meri ego nahi hai may hi kyun jhukun",,,ye soch hamary rishton ko deemak ki terha chaat leti hai,,,hum khud ko dusron ky rawaayon ki shikayat main to haq-ban-janib samjhty hain lekin kabhi apny rawayyon,apni baton pe gor kerny ki zehmat nahi kerty,,,khud sy baney kisi bhi rishty main kuch arsy ki khamoshi ko hum apni fazool soch ky tehatt ye samjhny lagty hain ky agla hum sy be-zaar ho chuka hai ab us ki nazar main hamari koi ehmiyat nahi,,,,lekin khud hum ye jann-ny ki bhi zehamt nahi kerty ky kahi usy koi pareshani na ho,us ko koi mushkil na ho,,,bus es intezar main hoty hain ky wo khud bata-aey,,,"hum khud kyun pouchy us sy" ye sub sochen,ye sub amall humy "KHUD AZEEYATI" ka dard de rahi hoti hain,,,jitna hum kisi ky bary main manfi andaaz main soch rahy hoty hain dar-haqeeqat pas-e-perda hum khud ko Azeeyat de rahe hoty hain,,,ziyada nahi to bus aik bar khud ka Ehtasaab karen,,,mujhe umeed hai ky hum "KHUD AZEEYATI" ki kaefiyat sy kafi hudd tak bahir nikal sakty hainn,,,,,,
Kind Heart- New Member
- Number of posts : 24
Registration date : 2008-09-13
Re: Khud Azeeyatti
Kind Heart>>> gr8 good thots
Lny- Junior Member
- Number of posts : 69
Location : RWP
Registration date : 2008-09-05
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum