Urdu Poetry / Shayari
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Narazgi ..!

Go down

Narazgi ..! Empty Narazgi ..!

Post by aloNe iN DaRk Thu Nov 06, 2008 5:36 pm

Barra tajasus hota hai baaz okaat ke insaan gar khud say bhi naraz ho to kaisey aur kyun? Bohat log samjhtey hain ke Tamsaha dikhata hai jaisey koi madari kisi bandar ko apni Dug Dugi par nachaye na..! Waisa hi Tamasha samjha jaata hai ke na shukra sa ye insaan ye nahin daikhta ke mohabbatein kitni hain log chahtey kya hain aisey hi likhta hai aisey hi kehta hai khushiyon ko ginta nahin dukhon ki manadi karwa deta hai ..!

Kabhi jhaank ker daikha aisey shaks ke andar? ke woh jo khud say naraz chala jaa raha hai bhonkta jaa raha hai aisa kyun hai..! arrey kahan koi aisi chott lagi koi aisa dard huwa hai koi aisa zakhm ke jo rista hai aur rista hi chala ja raha hai..! woh rukta nahin woh behta hai..! yaan woh shaks khud uss ko quraid raha hai kyun? kyun takleef pasand hai? kyun dukh maza dey rahey kyun azab achey lagtey hein? nahin janta koi nahin manta koi nahin sunta koi..! gila kisi say nahin shikwa kisi say nahin sab kartey hain per rok deta ho shayad woh shaks aisa bhi to mumkin hai na? haan abb aisa hi rehna hai abb aisa hi karna hai..! janey kya likh raha hoon janey kya keh raha hoon..! nahin jaanta ..!!
aloNe iN DaRk
aloNe iN DaRk
Administrator

Number of posts : 43
Age : 42
Registration date : 2008-11-06

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum