Suno Dost..!
2 posters
Page 1 of 1
Suno Dost..!
Suno dost.!! Zindagi mein aksar aisa hota hai ke hum daman churraney lagtey hain..! Unn say jo humarey apney hotey hain..! Iss khof say ke hum unn ka koi nuqsaan na kar dein..! Humarey saath chalney par..! Humari raah mein Bikhrey kaantey kahin unn ke pair na zakhmi kar dein..! Hum unn ko chorr detey hain..!!
Logon ko kehtey suna hai ke bohat mushkil hai aisa karna..! Aap ke dost aap ko nahin chorrtey..! Na aap unn ko chorr saktey ho..! Sach Kahoon..? Bohat asaan Hai..! Bass thorra kathor hona patrta hai..! Thorra dil ko sakht karna parrta hai..! Dhong rachana parrta hai..! Dil torna parrta hai..! Ye jatana parrta hai ke aap ko unn ki koi parwah nahin..! Unn ko ignore karna parrta hai..! Buri tarah say hurt karna parrta Hai..!Haan thorra hosala chahiye hota hai..! Thorri bardasht chahiye hoti hai..! Ke jo takleef unn ko hoti hai..! Aap bhi to uss say bach nahin paatey..! Bass phir woh aahista aahista aap say uktaney lagtey hain..! Khafa honey lagtey hain..! Nazrein churaney lagtey hain..! Aap ka hona, na hona unn ke liye koi ma'ani nahin rakhta..! Aur phir aik din woh aap ko chorr detey hain..! Theek hai na..! Aik had tak hi insaan kisi ki be-rukhi bardasht karta hai..! Hai na..?
Maan lo..! Ye jo thorri si takleef abb hoti hai na..! Ye uss dard say bachati hai jo baad mein hota hai..! .Jab aap par ye khulta hai ke jissey aap ne dost maana..! Uss ko deney ka hunar to aata hi nahin..! Ussey bass lena aata hai..! Cheen-na uss ki fitrat hai..! Lootna uss ki sdata hai..! Bohat takleef hoti hai..! Mainey maana..! Tum ko mujh say koi gharz nahin..! Lekin main to khud gharz hoon..! Tum ne nhaha kr main khush rahoon..! Mainey tum ko kab khush rakha..? Tum ko mujh par maan hai..! Mainey tumhara aitebaar kab kiya..? Pagal ho na tum..! Tum ne mujhey jaana hi nahin..!!
Daikho na..! Kitna aasaan hai yahan kisi ko dhoka dena..! Dosti ka faraib dena..! Kisi ka dil torrna..! Kisi ko aziyat dena..! Sab cheen kar daman churra Lena...!!

aloNe iN DaRk- Administrator
- Number of posts : 43
Age : 42
Registration date : 2008-11-06
Re: Suno Dost..!
yup. waqai bohat asan hai... yahan kisi ko dhoka dena... dosti ka faraib dena... kisi ka dil toorna... kisi ko aziyat dena... sab cheen kar daman chura lena...
magar
ye sub kuch karne wala kahin na kahin khud b mara jata hia...
tab ye sub kuch karna asan nai hota...

Imran Khaliq- New Member
- Number of posts : 8
Age : 38
Location : Islamabad
Registration date : 2008-11-06
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum